Nifaas Ki Muddat …..

» Nifaas Ki Muddat Zyada Se Zyada 40 Din «
Aksar Aurto Me Ye Baat Mashhoor Hai Ki Bachcha Jan’ne(Yani Bachcha Janam Dene) Ke Baad Pure 40 Din Tak Laazim Napaak Hi Rehti Hai. Ye Bilkul Galat Hai. Nifaas Ki Muddat Zyada Se Zyada 40 Din Hai, Agar 40 Din Ke Baad Bhi Agar Khoon Band Na Huwa Tou Woh Nifaas Nahi Balke Maraz (Bimaari) Kehlayega. 40 Din Hote Hi Gusl Kar Ke Roza, Namaz Shuru Karde, Phir Bhale Hi Khoon Jari Ho – Kyunki Ye Marz Ka Khoon Hai.
Ab Agar 40 Din Ke Andar Hi Khoon Band Ho Gaya Tou Aurat Napak Na Rahe Balke Gusl Karke Namaz-Roza Shuru Karde, Agarche Bachcha Janne Ke 5 Minute Baad Hi Khoon Band Ho Gaya Tab Bhi Gusl Karke Namaz-Roza Shuru Karde. Phir Agar 40 Din Pure Hone Se Pehle Agar Khoon Phir Aagaya Tou Woh Nifas Hi Ka Khoon Kehlayega.
References(Makhuz Az Fatawa Razwiyyah Mukharraja, Jild 4, Page No. 354 To 356)

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: