Neki Ka Hukm Dena aur Burayi se Rokna Farz hai

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazarte Abdullaah Bin Mas’ood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaaya :
“Allah ne mujhse pehle Kisi Ummat mein jitne bhi Nabi bheje, unki Ummat mein se unke kuch Hawaari aur Saathi hote they jo unki Sunnat par chalte aur unke Hukm ki Ittebaa’ karte they.

Phir aisa hota tha ke unke baad Naalayaq log unke Jaanasheen ban jaate they. Woh Zabaan se aisi baatein kehte jin par khud Amal nahi karte they. Aur aisey kaam karte they jin ka unko Hukm na diya gaya tha.

Chunaanche, jis ne un (jaise logon) ke Khilaaf apne Dast wa Baazu se (physically) Jihaad kiya Woh Momin hai, aur jis ne unke Khilaaf apni Zabaan se Jihaad kiya Woh Momin hai, aur jis ne apne Dil se unke Khilaaf Jihaad kiya Woh Momin hai, (lekin) is’se peechey Raayi ke daaney (ke) baraabar bhi Imaan nahi hai.”

– (Saheeh Muslim, Kitaab-Ul-Eemaan, Hadees : 179, 50)

# WAJAHAT:

Maloom hua ke buraayi ko sab se pehle Apne haathon se rokne ki koshish kare. Agar iski istetaa’at na ho, tou Zubaan se rokne ki koshish kare. Aur agar iski bhi istetaa’at na ho tou Kum se Kum Apne Dil mein us buraayi ko Buraa jaaney.

Aur yeh Dil se buraa jaanna Emaan ka Sab se Nichla Darjah hai. Agar Dil se bhi Bura Nahi jaante tou aisey Shakhs mein Eemaan baaqi hi Nahi Raha. Allaahul Musta’aan !.

For more Islamic messages kindly download our Mobile App

Leave a Reply