Nek Dost aur Burey Dost ki misaal

✦ Mafhum-e-Hadith:

Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
Nek Saathi (Dost) aur Burey Saathi (Dost) ki Misaal mushk bechney waley Attar aur Lohar jaisee hai, Mushk Bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon me se ek na ek zaroor pa loge. ya tou Mushk hi kharid loge ya kum se kum Mushk ki khushbu tou zarur pa logey. Lekin Lohar ki bhatti tumharey badan ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum badbu pa logey.

Sahih Bukhari, Vol 3, 2101

✦ Sabaq:

Lihaza aise logo se dosti rakha karo jo tumhare emaan ki doulat me ijafa karwa de aur aise logon se kinara karlo jiska sath tumhe neki aur parhezgaari se gafil kar de.

Leave a Reply