♥ Mafhoom-e-Hadees: Jarir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Mainey Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Pucha Ki:
(Ghair Mahram Par) Achanak Girney Wali Nazar Ka Kya Hukm Hai?
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Tu Apni Nazar Pher Le”.
– (Sunan Abu Dawud, Vol 2, 381-Sahih)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraydah Ibn Al-Hasib (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne
Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) Se Farmaya –
“Nazar Ki Pairwi Na Karo, (Gair Mahram Ki Taraf) Pahli Nazar Tou
Muaf Hai Magar Dusri Nigaah Muaf Nahi”.
– (Sunan Abu Dawud, Vol 2, H-382)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Ali (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Ali! Pehli Nazar Kisi Namehram Par Padhney Ke Baad, Issper Dusri Nazar Naa Dalna,
Kyunki Pehli Nazar Tou Tumhe Muaf Hogi, Dusri Nahi Hogi”.
– (Musnad Imaam Ahmed Bin Hanmbal;Page # 559;Vol/Jild # 1; Hadith no. 1369)