Namaq, Aag Aur Paani Ko Rokna Halaal Nahi ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Aayesha (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ki,
Unhone Kaha Ya Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Kaun Si Cheez Ko Rokana Halaal Nahin ?
*Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Paani, Namak Aur Aag Ko”.
*Ummul Mominin Farmaati Hai Maine Arz Kiya – “Yeh Paani Jo Hai Iss Ki Ahmiyat Ko Hamney Jaan Liyaa, Namak Aur Aag Ka Kya Mu’amla Hai?”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Jisne Kisi Ko Aag Di Usne Goya Wah Sara Khana Sadqa Kiya Jo Uss Aag Se Tayyar Hua ,..
Aur Jisne Namak Diya Usne Goya Wah Sab Kuch Sadqa Kar Diya Jo Uss Namak Se Durust Hua,
Aur Jisne Kisi Musalman Ko Uss Jagah Paani Ka Ghoont Pilaaya Jahaa Paani Paya Jaata Hai Tou Goya Ek Gulaam Azaad Kiya,
Aur Jisne Musalman Ko Wahan Paani Ka Ghoont Pilaya Jahan Paani Nahin Paya Jata Tou Usne Usey Zindaa Kar Diya”.
(Ibne Maajah)

» SABAQ: Lihaza Paani Pilane Ka Sawaab Bohot Afzal Hai. Allah Ke Rasool Ne Iss Baat Ki Taraf Farmaya Ke Jisne Kisiko Aesi Jagah Paani Pilaya Jaha Paani Paya Hi Nahi Jata Tou Uss Pilane Wale Ne Goya Uss Insan Ko Zinda Hi Kar Diya.

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: