♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Roz Abdullah-Bin-Masud (RaziAllahu Anhu) Quraan Ka Dars De Rahe They, Log Jamaa They Aur Dars Sun Rahe They,
Uss Dars Me Aap Kehne Lage – “Lanat Ho Unn Aurto Par! Jo Gundti Hai Aur Gundaati Hai, (Jismo Par Tattoo Banaati Hai)
Lanat Ho Unn Aurto Par Jo Nakli Baal Lagati Hai ..
Lanat Ho Unn Aurto Par Jo Khubsurat Dikhne Ke Liye Daanto Me Jagah Banati Hai ..
Lanat Ho Unn Aurto Par Jo Bhawaon Ko Banati Hai … (Eyebrow)
Chehre Ke Balon Ko Ukhadti Hai.. (Yaani Fitrat Ko Tabdil Karti Hai) …
Ek Khatoon Dars Sunn Rahi Thi Aapka, Wo Chali Gayi Aur Dusre Din Aayi,
Aur Abdullah Bin Masud Se Pucha – ‘Aye Abdullah ! Kal Tumne Dars Diya, Aur Dars Me Ye Kaha Ke Allah Ki Kitaab Me Yeh Hai, Ke Lanat Ho Unn Aurto Par Jo Falah-Falah Kaam Kare, Tumne Yeh Sab Kaha, Allah Ki Kitab Maine Padhi Hai .. Maine Yeh Cheez Kahi Nahi Paayi!
Aapne Farmaya – ‘Acha! Tumne Allah Ki Kitab Padhi Hai Aur Yeh Kahi Nahi Paya’..
Kya Tumne Yeh Ayat Na Padhi Surah Hashr Ki Ayat No.7 – ‘Ke Nabi Jo Dey Usey Lelo Aur Nabi Jis’se Rokey Uss Se Ruk Jao,
Tou Maine Rasool’Allah Ko Yeh Kahte Hue Suna! Isiliye Maine Yeh Baat Kahi’ ..
– (Sahih Bukhari Volume 006, Book 060, Hadith no. 408.) – @[156344474474186:]
* Matlab Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farman Bhi Unhone Kaha Quraan Me Hai..
Lekin Kitne Baar Aisa Hota Hai Ke –
Hum Apne Aaba-O-Ajadaad Ke Tareeko Par Amal Ke Liye Rasool’Allah Ki Sunnat Ki Mukhalifat Karne Lag Jatye Hai…
Fir Chahey Koi Sahi Kitabo Sunnat Se Humari Islah Karne Lag Jaye Fir Bhi Hum Unki Baat Nahi Sun’na Chahte ..
Yeh Hai Huamara Haal.. Aur Aesi Gustakhi Karne Ke Baad Bhi Hum Apne-Aap Ko Ahle Imaan Me Tasawwur Karte Rehte Hai..
* Allah Ke Liye Jab Koi Kitaabo Sunnat Ki Baat Karey Tau Bagour Suney Aur Samjhe,,
Fir Kahi Aisa Na Ho,… Ke Hum La-Ilmi Me Rasool’Allah Ke Sunnat Ki Mukhalifat Karne Lag Jaye Aur Fir Saari Zindagi Apne Kiye Par Nadeem Hona Padey..
# InshaAllah-Ul-Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ka Muttabe Banaye,
# Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sacchi Mohabbat Hum’me Daaley…
# Unki Sunnato Ko Samjhna Aur Uspar Chalna Humare Liye Aasan Karey..
# Aur Humari Naslo Me Rasool’Allah Ki Sunnat Ko Baaki Rakhey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!