Na Kisi Par Zulm Karo Na Kisiko Zalim Ke Hawale Karo ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke –
*Musalman Musalman Ka Bhai Hai, Na Tou Uss Par Zulm Kare, Aur Na Usko Zalim Ke Hawale Kare, (Ke Uss Par Zulm Ho Sake)
*Aur Jo Shakhs Apne Bhai Ki Hajat Ravayi Ki Fikr Me Hota Hai, Allah Ta’ala Uski Hajat Rawayi Karta Hai,
*Aur Jo Shakhs Kisi Musalmaan Se Uski Musibat Door Kare, Tou Allah Ta’aala Qayamat Ki Musibate Us’sey Door Karega,
*Aur Jis Shakhs Ne Kisi Musalman Ki Aib Poshi Ki (Aib Chupana), Tou Allah Qayamat Ke Din Uski Aib Poshi Karega”.
(Sahih Bukhari, Kitab-Al-Mazali M- Al-Gazab, Jild: 1, Hadees: 2275)

2.5/5 - (2 votes)

Leave a Reply

Related Posts: