Hazrate Ali (R.A) se Mushkil Sawalaat ke Khubsurat Jawaab

7 Mushkil Sawaal aur Hazrat Ali (R.A) ke Khubsurat Jawaab

Tauraat ke ek Aalim Mujer ne ek martaba Hazrat Ali (R.A) se kuch sawaal puche jinke jawab Hazrat Ali ne diye.

Mujer ne pucha:

(1) Wo kaunsa mard hai jiska na baap hai na maan?
(2) Wo kaunsi aurat hai jiska na baap hai na maan?
(3) Wo kaunsa mard hai jiski maan hai lekin baap nahi?
(4) Wo kaunsa patther hai jisne jaanwar paida kiya?
(5) Wo kaunsi aurat hai jisne ek hi din mein 3 ghadiyaan mein baccha jan diya?
(6) Wo kaunse dost hain jo aapas mein kabhi dushman nahi banege?
(7) Wo kaunse dushman hain jo aapas mein kabhi dost nahi banege?

Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) ne jawab diya:

(1) Wo mard jiska na baap hai na maan Hazrat Aadam (Alaihay Salam) hai!
(2) Wo Aurat jiska na baap hai na maan Hawwa (Razi Allahu Ta’ala Anha) hai!
(3) Wo mard jiski maan hai lekin baap nahi Hazrat Isa (Alaihay Salam) hai!
(4) Wo patther jisne jaanwar paida kiya wo patther hai jisse Hazrat Saleh (Alaihay Salam) ki unthni paida hui!
(5) Wo aurat jisne ek hi din mein 3 ghadiyaan mein baccha janaa Hazrat Maryam (Razi Allahu Ta’ala Anha) hai jinko ek ghadi mein hamal tehra, dusri ghadi mein dard-zeh (baccha paida hone ke waqt dard) paida hui! Tisri ghadi mein Isa (Alaihay Salam) paida hogaye!
(6) Wo dost jo kabhi aapas mein dushman nahi banege, jism aur rooh hain!
(7) Wo 2 dushman jo kabhi aapas mein dost nahi banege Maut aur Hayyaat(Zindagi) hain!

Mujer ne jawab sun ke kaha ki “Wakay Aye Ali! Tumne sahi jawab diya! Wakayi mein tum Baab-a-Madinatul ilm ho!”

📕 Jaami-Ul-Moajizaat pg-23

Leave a Reply