♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Uss Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Me Meri Jaan Hai!
Agar Log Murde Ka Thikana Dekh Le Aur Uss Ka Qalaam (Baatein) Sun Le Tou
Mayyat Ko Bhul Jayennge Aur Apni Jaano Par Rone Lagenge.
– Jab Murde Ko Takht Par Rakha Jata Hai Tou Iss Ki Rooh Far-Farate Huwe Pukarti Hai Ke,
Aye Mere Ahlo Ayaal! Duniya Tumhare Saath Iss Tarah Na Khele Jis Tarah Mere Saath Kheli,
– Maine Halaal Aur Haraam Maal Jamaa Kiya Phir Woh Maal Dusro Ke Liye Chhod Aaya
– Is Ka Nafaa Tumhare Liye Hai Aur Nuqsaan Mere Liye Hai,
– Bas Jo Kuchh Mujh Par Guzar Rahi Hai Is Se Bacho Aur Ibrat Haasil Karo”.
– (Mishkaat Shareef)
Related Posts:
Murdo Ke Liye Maghfirat Talab Kiya Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Kisi Mayyat Ki Tadfin Se Farigh Ho jatey Tou Uski Qabr Ke Paas Ruktey Aur Farmate: "Apne Bhai Ke Liye Maghfirat Talab Karo Aur Uske Liye Sabit Qadmi Ki Ilteja Karo, Kyun Ke Ab Us'sey Sawaal Kiye Jayenge.." - (Sunan Abu Dawood, Hadith No:3221)
Jisne Ilm Hasil Kiya Usne Ambiya Ki Wirasat Me Se Bada Hissa… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Ulama Ambiya Ke Waris Hai. Ambiya Wirasat Me Na Duniya Chhodte Hai Aur Na Dirham, Balke Wo Wirasat Me Ilm Chhodte Hai. Jis Ne Isey (Yaani Ilm Ko) Hasil Kiya Uss Ne Bada Hissa (Ambiya Ki Wirasat Me Se) Paa Liya.." - (Ibne Maja: Hadith no.223, Kitab-Us-Sunnat)
Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai .... ♥ Al-Quraan: Allah Ta'ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. - [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11] ♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - » Hadees: "Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai". - (Miskat P:24) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai". - (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”. - (K.Ummal) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Raat Me…
Qabro Ki Ziyarat Mardo Par Halaal Aurto Par Haraam .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Tum Qabro Ki Ziyarat Kiya Karo Kyunki Wo Tumhey Mout Ki Yaad Dilati Hain" - (Sahih Muslim, Vol2, 2259) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Buraida (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Mainey Tumhey Mana Kiya Tha Qabro Ki Ziyarat Karney Se Lekin Ab Tum Ziyarat Karo Unki". - (Sahih Muslim, Vol5, 5114) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Qabro Ki Ziyarat Karo Kyunki Ye Tumhey Aakhirat Ki Yaad…
Jisne Jumma Ke Din Gusal Kiya Aur .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Salman Farsi (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke, "Jisne Jumma Ke Din Gusl Kiya Aur Khub Paaki Hasil Ki Aur Tel (Oil) Ya Khushbu Istemal Ki Phir Jumma Ke Liye Chala Aur Do Aadmiyon Ke Beech Me Na Ghusa Aur Jitni Uski Kismat Me Thi Namaz Parhi Phir Jab Imaam Bahar Aaya Aur Khutba Shuru Kiya Tou Khamosh Ho Gaya, Uske Iss Jumma Se Guzre (Past) Jumma Tak Ke Tamam Gunaah Baksh Diye Jayengey". - (Sahih Bukhari, Vol 2, 910 )
Ilm Hasil Karnewale Ka Martaba ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Farishte Ilm Hasil Karnewale Ke Amal Se Khush Hokar Uskey Liye Apne Bazu(Wings) Bicha Detey Hai.." - (Ahyaul Uloom Jild#2, Page#52)
Din Ki Shuru Aur Aahiri Me Achay Kaam Kiya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Jis Ne Din (Day) Ki Shuruwat Kisi Achay Kaam Se Ki Aur Apne Din (Day) Ko Achay Kaam Hi Par Khatm Kiya Tou Allah Apne Farishtay Se Farmayega, "Inn Dono (Din Ke Shuru Aur Aakhir) Ke Darmiyan Jo Sagheera Gunaah (Kum Darje Ke Gunaah) Hain Unhe Mat Likho". - (Jama-Al-Sagheer Al Suyuti, Page:813, Hadees:8423)
Sharaab Tamaam Buraaiyon Ki Jad Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farmane Ibrat Nishan Hai Ke, ")"Hargiz Sharaab Na Peena! Isliye Ki Sharaab Tamaam Buraaiyon Ki Jad Hai.." - (Musnad-e-Ahmad Hadis no.21570)
Ladki Ki Nikah Ke Liye Razamandi .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira Wa Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Kuwaari Ladki Ka Nikah Na Kiya Jaye Jab Tak Uski Razamandi Na Hasil Kar Li Jaye Aur Uska Chup Rehna Uski Razamandi Hai, - Aur Na Nikah Kara Jaye Bewah(Widow) Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li Jaye". - (Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Aayesha (RaziAllahu Anha) Ne Arz Kiya - "Ya RasoolAllah! Kuwari Ladki Tou Nikah Ki Ijazat Dene Me Sharmati Hai." Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Uska Khamosh Ho Jana…
Apni Aulaad Ka Naam Behtar Rakha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Beshaq! Tum Roze Qayamat Apne Naamo Aur Apne Baapo Ke Naamo Se Pukare Jaoge Tou Apne(Baccho Ke) Naam Ache Rakha Karo.." - (Imaam Ahmed, Abu Dawood, Jild 3, Bab 485, Hadees 1513, Safa 550) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Aadat-e-Kareema Thi Ki, Aap Burey Naam Badal Diya Karte They. - (Tirmizi, Jild, Safa 301, Abu Dawood, Jild 3, Hadees 1517, Safa 551) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibne Umar (Razi'Allaho Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Allah Ta'ala Ko Tamaam Naamo Me Se…
Al-Quran: Yateemo ko unke maal de diya karo aur kharab maal… Quran: 19-March: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟Yateemo ko unke maal de diya karo aur kharab maal ko acche maal se tabdeel na kiya karo. 📕 Quran; Surah Nisa 4:2
Aye Logon Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrat-e-Abdullah Ibne Abbas(RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - Jab Hazrat-e-Ibrahim (Alaihay Salam) Khaana-e-Kaaba Ki Tameer Muqammal Kar Liye Tou Allah Ta'ala Ki Bargaah Me Marooza Kiye - 'Ilaahi Maine Tameer Muqammal Kar Li Hai!' Tabhi Allah Ta'ala Ne Hukm Farmaya - 'Logon Mein Hajj Ka Ailaan Karo" Unhone Arz Ki Ilaahi Meri Aawaz Kaise Pahuchegi.? Allah Ta'ala Ne Irshad Farmaya - 'Aawaz Dena Tumhara Kaam Hai Aur Usey Pahuchana Humare Zimme Hai'. Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Arz Kiya - 'Ilaahi Mai Kin Kalimaat Se Ailaan Karu.?' Allah Ta'ala Ne Farmaya…
Aurato Se Mehaz Unke Husn Ke Sabab Nikah Na Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Nabi (ﷺ) Ne Farmaya - "Aurato Se Unke Husn Ke Sabab Nikah Na Karo, Ho Sakta Hai Uska Husn Tumhe Tabah Kar De, Na Uske Maal Ki Wajah Se Nikah Karo, Ho Sakta Hai Ke Unka Maal Tumhe Gunaaho Me Mubtela Kar De, Balki Deendari Ki Wajah se Nikah Kiya Karo,. Kaali, Chapti, Badsurat Larki Agar Deendar Ho Tou Behtar Hai." - (Ibne Maja, 1926) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अल्लाह के नबी (ﷺ) ने फ़रमाया - "औरतो से उनके हुस्न के सबब निकाह ना करो, हो सकता है उसका हुस्न तुम्हे तबाह कर दे, ना उसके माल की…
Allah Ki Neymat Ka Tark Karna Kufr Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Koi Banda Allah Ta'ala Ke Diye Huve Neymat Par Alahmdulillah Kehta Hai Tou Allah Ta'ala Uss Se Afzal Neymat Ata Farmata Hai". - (Ibne Maaja Hadith no.3805) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Tumney Alhamdulillah Kaha Tou Rab Ka Shukr Ada Huwa Aur Tumhari Neymat Me Ezaafa". - (Jameul Bayan 1/90) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Jis Ne Khaleel Chiz Ka Shukr Ada Nahi Kiya Usney Kaseer Chiz Ka Bhi Shukr Ada Na Kiya Aur Allah Ki Neymat Ka…
Dua ke Qabuliyat ke liye Rizq-e-Halaal Khaya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - "Agar Tum Chahte Ho Ke Tumhari Her Dua Qabool Ho, Tou Tum Rizq-e-Halaal Khaya Karo.." - (Ziyaul-Quran Jild#1, Page#120)