Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna

Hadees of the Day

Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna

۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmate hai:

“Momin ka Muamla bhi Ajeeb Hai ke! jab ALLAH usey Neymat bakshta hai tou wo Shukr karta hai aur ispe isko Sawab milta hai aur jab Allah usey Aazmata hai aur uspe Taklif dalta hai tab wo Sabr karta hai aur ispe bhi isko Sawab milta hai.”

📕 Sahih Muslim, Book 042, Number 7138

Rating: 5 out of 5.

WAJAHAT:

SubhanAllah ! Allah Ke Nabi (ﷺ) Is Aahadees me Momin ki Sifat bayan kar rahe hai, Yaani Momin ki Khubi Ye hai ke Jab uspe Pareshani aati hai to Allah par Tawakkul Rakhte hue Sabr karta hai aur Jab Koi neymat Milti hai to Allah ka Shukr Ada karta hai.

lekin Afsos! Aaj humpar koi Dushwari aati hai tou Bajaye Apne Rab Par Tawakkul Rakhne ke Hum Falah aur falah ke Aasthano pe Jaate hai. aur jab Allah humare muamlaat ko durust kar deta hai tou uski nisbat bhi hum Allah ke bajaye falah aur falah ho dene lagte hai.. Allah Reham kare, kis hadd tak hum Gumrahi me jii rahe hai.. Mere Aazeez Mohtaram bhaiyo!  jara Apne Aamal ko Nabi (Salallahu Alaihi Wasallam) Ki Taalimat se tou muhasba (Tally) karke dekh lo ,..

Allah Ta’ala hume Kehne Sunne se Jyada Amal ki taufik Dey.
– Hume Tamam kism ke Gairsharayi Rusumat aur Bad Aqidagi se bachaye,
– Hume Qurano Sunnat ka Muttabey banaye,
– Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda Rakhey ,..
– Khatma Humara Imaan par Ho.

Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen

Leave a Reply