!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
» (1). Mehar Ki Adaygi Me Khush Dili Ka Muzaihra Kare !
♥ Al-Quraan: “Aur Aurto Ko Inke Mehar Khushi Se Do”
– (Surah Nisaa: Aayat 4)
– Is Aayat Se Sabit Hota Hai Ke Mehar Ki Adayegi Me Khush Dili Ka Muzaihra Karna Chahiye.
» (2). Mehar Ki Adaygi Me Faraagh Dili Chahiye !
♥ Al-Quraan: Ye(Mehar) Wo Zyada De Jiske Haath Me Nikah Ki Grah Hai Aur Aye Mard Tumhara Zyada Dena Parezhgaari Se Nazdeek Tar Hai Aur Aapas Me Ek Dusre Per Ehsan Ko Bhula Na Do Beshaq Allah Tumhare Kaam Dekh Raha Hai.
– (Surah Baqarah: Aayat 237)
» (3). Mehar Wapas Naa Lo !
♥ Al-Quraan: Aur Agar Tum Ek Biwi Ke Badley Dusri Badalna Chaho Aur Isey Dhero Maal De Chuke Ho Tou Isme Se Kuch Waapas Na Lo, Kya Ise Wapas Loge Jhoot Baandh Ker Aur Khule Gunaah Se, Aur Kyu Ise Wapas Lo Ge Haalanke Tum Ek Dusre Ke Samne Bepardah Ho Liye Aur Tum Se Pakka Ahed Le Chuke.”
– (Surah Nisaa: Aayat 20-21)
– In Aayat Se Maloom Hoti Hai Ke Agar Koi Shaqs Ek Biwi Ko Talaaq De Ker Dusre Se Nikah Karna Chahe Aur Iss Haal Me Pahle Biwi Ko Kaseer Maal-O-Asbaab De Chuke Hai To Diye Hue Maal Me Se Kuch Wapas Na Le Kyu Ke Judai Shohar Ki Taraf Se Hai.
» (4). Mehar Muaf Karne Ka Iqtiyaar Aurat Ko Hai !
*Agar Aurat Ke Auliya Me Se Koi Mehr Muaf Karna Chahe Tou Nahi Kar Sakta Ke Mehar Muaf Karne Ka Iqtiyaar Aur Haq Aurat Ko Hai.
*Maslah: Aurat Ko Iqtiyaar Hai Wo Apne Shoharo Ko Mehar Ka Koi Jahaba Kare Ya Kul Mehar, Magar Mehar Bakhswane Ke Liye Inhe Majboor Karna Inke Saath Badkhalfi Na Karna Chahiye, Kyu Ke Allah Tahla Ne Fa’an Taban Lakum Farmaya Jis Ke Maana Hai Dil Ki Khushi Se Muaf Karna,
» (5). Mehar Muaf Karne Per Maal Shoher Ka Hoga !
♥ Al-Quraan: Phir Agar Wo Apne Dil Ki Khushi Se Mehar Me Se Tumhe Kuch Dede Tou Ise Khao Rachta Bachta.
– (Surah Nisaa: Aayat 4)
Ref: (Hawala Kitaab: ”Nikah Ka Islami Tasawwur “)