Acchi baat kaho ya Khamosh Raho Hadees of the Day Acchi baat kaho ya Khamosh Raho Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Bolo to acchi baat bolo ya Khamosh Raho.” 📕 Sahih Bukhari; Hadees 6019
Hadith: Aisi baatein na kaho jo dusro ko sunne me buri lage Hadith: 24-April: Aas bin Amr Tufaawi (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Aisi baatein na kaho jo dusro ko sun'ne me buri lage. -Musnade Ahmed 16701
Murdo Ke Liye Maghfirat Talab Kiya Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Kisi Mayyat Ki Tadfin Se Farigh Ho jatey Tou Uski Qabr Ke Paas Ruktey Aur Farmate: "Apne Bhai Ke Liye Maghfirat Talab Karo Aur Uske Liye Sabit Qadmi Ki Ilteja Karo, Kyun Ke Ab Us'sey Sawaal Kiye Jayenge.." - (Sunan Abu Dawood, Hadith No:3221)
Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri ... Hadees of the Day Zikr-e-Ilaahi karne walo ke Liye Khush khabri Hazrte Abu Huraira (R.A) se Mairvi hai ki,Rasool'Allah (ﷺ) ka farman hai - “Allah Ta'ala ke kuch Sayyah (Yaani Sair Karne Wale) Farishte hai, Jab Woh Mehafil-e-Zikr (Allah ka Zikr/Ibadat karne walo) ke Paas se Gujarte hai touEk Dusre se kahte hai: (Yahan) Baitho. Jab Zakirinn (Zikr Karnewale) Dua Mangte hai tou Farishte Unki Dua par 'Aameen' Kehte hai. Jab Woh Nabi (ﷺ) par Durood bhejte hai tou Woh Farishte bhi Unke Sath Milkar Durood bhejte hai, Hatta ki woh Muntashir (Yaani Idhar Udhar) ho jate hai. Phir Farishte…
Allah Ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurraia (RaziAllahu Anhu) Ka Bayan Hain Ke, Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Farmatey Huwe Suna - "Jis Roz Allah Ne Rehmat Ko Paida Kiya Tou UsKey 100 Hissay Kiye Aur 99 Hissay Apne Paas Rakh Kar Ek (1) Hissa Apni Saari Makhlooq Ke Liye Bhej Dia. *Pas Agar Kafir Bhi Yeh Jaan Le Ke Allah Ke Paas Kitni Rehmat Hai Tou Woh Bhi Jannat Se Mayoos Na Ho Aur Agar Momin Yeh Jaan Jaye Ke Uss Ke Paas Kitna Azaab Hai Tou Jahannum Se Woh Bhi Be-Khouf Na Rahey". - (Sahih Bukhari 5/2374 Hadith no. 6204)…
Goongi ho Gai aaj kuch Zubaan kehte kehte: Dr. Allama Iqbal Goongi ho gai aaj kuch Zuban kehte kehte, Hichkicha gaya me khud ko Musalman kehte kehte. Ye baat nahi ke Mujhko Rab par yaqeen nahi, Bas darr gaya khud ko Sahib-e-Emaan kehte kehte. Tofeeq na hui mujhe ek waqt ki Namaz ki, Aur chup ho gaya Moazzin Azan kehte kehte, Kisi kafir ne jo poocha ke ye kya hai maheena, Sharm se paani hath se gir gaya Ramzan kehte kehte, Meri Almari me gard se aati Kitab ka jo poochha, Mai gaddh gaya Zameen me Quraan kehte kehte, Ye sun ke chuppi saadh li "Iqbal" uss ne, Yun laga jaise…
Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Hadees of the Day Bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai Abu Darda (R.A) se Riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ”Jab koi apne bhai ke liye (ghaybane) me dua karta hai to farishte ameeen kehte hain aur kehte hain : tere liye bhi isi jaissa ho.“ 📕 Sunan Abi Dawud 1534-Sahih Abu Darda (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Musalman ki apne bhai ke liye Ghaibana Dua qabool hoti hai, uske paas ek farishta hai jiski ye jimmedari hoti hai ke jab woh apne kisi bhai ke liye (Ghaibana) koi acchi Dua kare tou wo…
Jab Banda koi Nek Amal pabandi se karta rehta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, wo kehte hain maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek ya do baar hi nahi balke mutaddad baar ye kehte huye suna Ke: "Jab banda koi Nek Amal (pabandi se) kar raha ho, phir koi Bimari ya safar usey mashgool kar de jis ki wajha se usey wo na kar sake, to bhi uske liye itna hi sawab likha jata hai jitna ke uske tandrust aur muqeem hone ki soorat me amal karne par uske liye likha jata tha.." English Ref: [Sunan Abi Dawud 3091-Hasan | In-book refe:Book 21, Hadith…
Uska Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Koi Shakhs Namaz Ki Wajah Se Jab Tak Kahi Par Ruka Rahega Uska Ye Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga Aur Farishte Uske Liye Dua Karte Rahenge Ki - Aye ALLAH! Iski Magfirat Farma Aur Iss Par Apni Rehmat Nazil Kar (Farishte Tab Tak Ye Dua Karte Hain) Jab Tak Wo Namaz Se Farig Hokar Apni Jagah Se Na Uth Jaye". - (Sahih Bukhari, Vol-4, Hadith no. 3229)
Kaun se Sadqe ka Sawab sabse Zyada hai ? ✦ Hadees: Kaun se Sadqe ka Sawab Zyada Hai ? Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Unhone farmaya, “Ek shakhs Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas aaya aur kehne laga ‘Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Kaun se Sadqe ka Sawab Zyada Hai ?’ Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya, ❝ Us waqt Sadqa karo jab tum Tandurust ho, Tumhe Maal ki Zarurat ho, Gareebi ka Darr ho aur Zindagi ki Ummeed ho aur Sadqa karne me Der na karo, hatta ki jab Rooh Halaq tak aa jaye tou fir tum kaho ki fala ko itna dey do jabki ab tou…
Kya Humare Badey Galat They ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) Ne Farmaya - Man Alaqtan Tammimatan Faqad Ashrak” Jisne “Taweez” Latkai Usne Shirk Kiya. – [Musnad Ahmad (4/156) No. 17458 and Mustadrak al-Haakim (4/243) No. 7513] # Tou kya humare badey Galat they jinhone Taweez ka Aqida ijad kiya ? - Ab Bolney mat Lagayiye ,.. ♥ Hadees Ka Mafhoom Hai ke - Rasool'Allah (ﷺ) Farmatey hai - "Jo Mar Gaye, Wo Apne Hisab Ko Pohoch Gaye, Unke Talluk Se Husne Guman Rakho. Jab Bhi Kaho Accha Kaho! Bura Mat Kaho ..” – (Sunan An-Nasai, Vol 3 , Hadith No,1938) * * * * * #…
Dua: Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua بِسْمِ الله - Bismillah ۞ Hadees: Abu Al Malih Radi Allahu Anhu se riwayat hai, Main RasoolAllah (ﷺ) ke peeche sawar tha ke Aap (ﷺ) ki sawari phisal gayee, maine kaha shaitan marey tou Aap (ﷺ) ne farmaya 'aise na kaho ke Shaitan marey islye ke jab tum aisa kahoge to wo phool kar ghar ke barabar ho jayega aur kahega mere quwwat ko iss ne qubul kar liya' , isliye (jab kabhi thokar lage ya phisal jao to) kaho Bismillah (Allah ke naam se) kyunki jab tum ye kahoge to wo pichak kar itna chota ho jayega Jaise makhkhi."…
6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat Hadees of the Day 6 Baato ki Amanat aur Jannat ki Zamanat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya - "Tum Apni taraf se Mujhe Chhe (6) Baato ki Zamanat de do, Mai Tumhe Jannat ki Zamanat deta hoon." (1). Jab Baat karo tou Sach Bolo.(2). Jab Wadaa karo tou Poora Karo.(3). Jab Tumhare Paas koi Amanat rakhe tou Uske Maangne par Wapas Do.(4). Apni Sharmgaaho ki Hifaazat karo.(5). Apni Aankho ko Niche rakho. (Gair Galat Cheeze dekhne se bacho)(6). Apne Haatho ko (Zulm se) roke raho. 📕 Ibn Habban : 271📕 Ahmad : 5/323 📕 Haakim : 4/358,359
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis ke jo munkir huwa aur guroor kiya aur kaafir ho gaya. ❞ [Surah Baqrah 2:34] 2). ❝ Takkabur se apne…