Mareez ki Ayadat aur Shifa ke liye dua

Hadeese Nabwi ﷺ

Bimar Musalman Bhai ki Ayadat ka Sawab

RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai :

“Banda-e-Momin Jab apne Saahib-e-Imaan bhai ki Ayadat ko jaata hai tou wapas aaney tak woh goya Jannat ke Bagh me hota hai.”

📕 Muslim, Hadees 2568


Mareez ki Ayadat aur Shifa ke liye dua

1. RasoolAllah (ﷺ) jab beemar hote to
Jibril Alaihi Salam aapko (in alfaz se) dam karte:

بِاسْمِ اللهِ يُبْرِيكَ وَمِنْ كُلِّ دَاءٍ يَشْفِيكَ وَمِنْ شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ وَمِنْ شَرِّ كُلِّ ذِي عَيْنٍ

〘 Bismillahi Yubrika, Wa min Kulli Daa-in Yushfiika, Wa min Sharri Hasidin Eeza hasad, Wa min Sharre kulli Zee Ayneen. 〙

Allah ke naam ke saath jo aapko har beemari se shifa de, har hasad karne wale ki burayee se jab wo hasad kare, aur har nazar lagane wale ki burayee se .

📕 Sahih Muslim , Jild 5, 5699


2. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
jab koi shakhs kisi aise mareez ki ayadat kare jiski maut ka waqt qareeb nahi aaya ho to uske paas jakar 7 martaba ye Dua padhe to Allah usko us marz se shifa ata farma dega

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ

〘 As’alullah Al-‘Azeem Rabbal Arshil Azeem an Yashfik 〙

Main Azmat wale Allah , jo Arsh-e-Azeem ka malik hai se dua karta hu ki wo aapko shifa ata farmaye.

📕 Sunan Abu Dawud, Jild 2,1329-Sahih


3. RasoolAllah (ﷺ) ek Arabi ki Ayadat ke liye tashrif le gaye to us se farmaya

لاَ بَأْسَ طَهُورٌ، إِنْ شَاءَ اللَّهُ

〘 La Basa Tahuran In Sha Allah 〙

Koi Harz nahi, ye beemari tumare liye Paaki ka sabab hai ( yani tumhe gunaho se paak kar degi).

📕 Sahih bukhari, Jild 8, 7470


4. Hazrat Aisha (Razi Allahu Anha) se riwayat hai ki
RasoolAllah (ﷺ) apne ghar ke kuch (Beemar) logo par apna dahina haath pherte aur ye farmate:

اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ أَذْهِبِ الْبَاسَ، اشْفِهِ وَأَنْتَ الشَّافِي، لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ، شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا

〘 Allahumma Rabbin Nasi, Adhabal basa, Ashfihi Wa Anta shafee, La shifaaa illa shifauuka, shifa’an La Yugadiru Saqama 〙

Aye ALLAH logon ke RABB , Takleef ko door kar de, isko (mareez ko) Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai, aisi Shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahe.

📕 Sahih Bukhari, Jild 7, 5743

5/5 - (3 votes)

Leave a Comment