♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
“Ek Umarah se Dusrey Umrah tak Jitne Gunaah ho Umrah Uska Kaffara ban jata hai aur Maqbool Hajj ka koi badla nahi siwaye jannat ke.”
Maqbool Hajj kya hai ?
Maqbool Hajj jise Hajj Mabrur bhi kaha jata hai yaani aisa Hajj jo Allah Qabool kare, jo khalis Allah ki Raza ke liye kiya gaya ho aur wo Riyaa se paak ho.
lekin aajkal dekha jata hai ke logon ne apne hajj ko riyakari ka markaz bana liya hai. jabki Allah ke Nazdiq aisi ibadat hargiz Qabile Qabool nahi jisme Riyakari (Showing off) ho.
Riyaa ke maane –
• Riyaakari ke Maney hota hai ‘Logon me Shohrat ke wastey apne amaal ka charcha karna, aisi ibadat jo khalis Allah ke liye karni hoti hai lekin hum usey logon ko dikhawe ke liye karte hai taaki log humari tareef karey. isey riyaa kehte hai’. mukhtsar me ‘Logon se Tareef ki Ummid me amal karna riyaa hai’
Riyaa ki tabahkariya –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate Hai: “Riyaa ka Adna martaba bhi Shrik hai.”
- (Islami Akhlaq-O-Aadab, Hadees-7, Page-302)
Shirk ke Nuksaan –
Hum sab jaante hai Shirk aisa Gunaah hai Jiski Aakhirat me koi muafi nahi illah ye ke dunia me hum tauba karke momin ban jaye. aur jo tauba na kare aur shirk ki halat me inteqal kar jaye aise logo ke talluk se Allah Rabbul Izzat Quraan me farmata hai :
“Jisne Allah ke sath kisi ko Shareek tehraya, Allaah ne uss par jannat haraam kar di, Uska tikhana jahannum hai aur zalimo ka koyi madadgar na hoga.” (Al-Quran 5:72)
Allah Ta’ala hume Kehne Sun’ne se jyada amal ki toufiq de. Hume apne Hajj aur digar tamam faraiz ko riyaakari se paak rakhne ki toufiq ata farmaye, hum tamam ko beshumar ilm aur amal ki toufiq de,
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!