∗ Har Insan Ki Izzat Aur Uss Se Mohabat Karo, Kyonki
Har Insan Ke Ander Allah Ki Koi Na Koi Sifat(Khubi) Zaroor Moujud Hoti Hai ,..
∗ Jyada Mazaaq Karne Se Aadmi Ki Izzat Chali Jati Hai,
Aur Logon Se Dushmani Paida Ho Jati Hai ,..
∗ Agar Kisi Ka Zaraf Azmana Ho Tou Usko Ziada Izzat Do,
Wo Aala Zaraf Hua Tou Aap Ko Aur Izzat Dega Aur Kam Zaraf Hua Tou
Khud Ko Aala Zaraf Samjhega ,..
∗ Barish Ka Qatra Seepi Aur Saanp Dono Ke Mooh Me Girta Hai,
Jab Ke Sanp Usse Zeher Bana Deta Hai, Aur Seepi Usse Moti,
Jiska Jaisa Zaraf Waisi Uski Takhleeq ,..
∗ Apna Sar Uncha Rakhon Ki Tum Kisi Se Nahi Darte, Lekin Apni Nigaahen
Nichi Rakhon Kyun Ke Tum Ba-Izzat Gharaane Se Ta’alluq Rakhte Ho ,..
∗ Tajjub Ki Bat Hai: Allah Ta’ala Ne Izzat Ko Apni Ita’at (Farmabardari) Me Rakha Hai,
Log Usey Duniyadaron Ke Dar Par Talaash Karte Hain. Bhala Woh Kaise Paayenge ? ,..