Maa Ki Be-Karaari …..

» Hiqayat : Ek Sipahi Tha Fauj Ka Jiska Naam Subkatgin Tha! Ghar Me Bahoat Tangi Thi, Uske Paas Ek Ghoda Tha Jisper Sawaar Hoker Yeh Kabhi-Kabhi Shikaar Khelne Chala Jata! Shikaar Miljata Tou Ghar Me Kuch Khana-Pina Hojata Tha! Na Milata Tou Ghar Me Faaka Hota!

Ek Baar Yeh Shikaar Ki Niyat Se Ja Raha Tha Ki Isne Ek Heerni Ko Dekha Jiske Sath Chotasa Baccha Tha! Usne Apna Ghoda Jo Uske Piche Daudaya Tou Hirni Tou Bhaag Gayi Magar Chhota Baccha Na Bhaag Saka Tou Isne Uss Bacche Ko Pakad Liya! Jab Maa Ne Dekha Ki Mere Bacche Ko Iss Aadmi Ne Pakad Liya, Tou Bhaagti Hui Heerni Fir Wapas Aagayi Aur Usne Iske Karib Aaker Apni Iss Be-Karaari Ka Izhaar Karna Shuru Kerdiya! Aasmaan Ki Taraf Mooh Uthati Thi Aur Dard Bhari Awaaz Nikaalti Thi! Yeh Rahem Dil Insan Tha Samajh Gaya Ki Yeh Maa Be-Karaar Hain, Ki Mera Beta Iss Shikaari Ke Hath Me Chala Gaya!

Lihaza Isney Uske Be-Karaari Ko Dekhte Hue Uske Bacche Ko Chhod Diya! Wo Maa Apne Bacche Ko Lekar Chali Gayi! Yeh Wapas Aaya, Raat Ko Soya Tou Khwab Me Usko Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Dedaar Nasib Hua!
Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ki, “Tune Ek Maa Ki Be-Karaari Ko Dekhker Usper Reham Khaya! Yeh Tera Amal Allah Ko Itna Pasand Aaya Ki Allah Ta’ala Tujhe Duniya Ka Taaj Ata Farmayega Aur Tune Uska Beta Wapas Kiya Uske Badle Allah Ta’aala Tujhe Beta Ata Farmayega”,

Lihaza Uske Yahan Beta Hua Jiska Naam Sultan Mehmood Gaznawi Rakha Gaya Jo Purey Hindustan Ka Fateh Bana Aur Allah Rabbul Izzat Ne Iss Garib Ko Ek Baadshah Ka Baap Ban’ne Ki Taufiq Ata Farmayi!
(Sukoon-e-Khana, Page-220 : @[156344474474186:])

» Sabak – Agar Jaanwar Jaisi Maa Ki Be-Karaari Ka Khayaal Rakha Jaye Tou Insan Ko Duniya Ki Shahi Milti Hain! Yeh Naujawaan Bacche Aur Bacchiyan Yeh Baat Samazle Ki Agar Apni Maa Ki Be-Karaari Ke Dauraan Uske Sath Mohabbat Ka Muamla Karoge Tou Allah Ta’aala Unhe Duniya Aur Deen Ki Baadshahi Ata Farmayega!
Allah Ta’ala Hamari Kothayiyon Se Darguzar Farmayen Aur Hume Nekon-Kaari Aur Parhezgari Ki Zindagi Ata Farmayen!
“Aameen Ya Rabbul Aalameen”

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: