Chaar(4) Baatey Maa Ke Pait Me Hi Likh Di Jati Hai ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Masood (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Tum Me Se Har Shakhs Apni Maa Ke Pait Me 40 Din Aur 40 Raat Tak Nutfe Me Rahta Hai,
Phir Utney Hi Muddat (Yaani 40 Din-Raat) Tak Alqa Yaani Khoon Ki Phuki Banta Hai
Aur Phir Utne Hi Arse (Yani 40 Din-Raat) Tak Mudghah Yaani Gosht Ka Lothda Banta Hai
Phir Allah Subhan Ta’alah Ek Farishta Bhejta Hai
Aur Uskey Baare Me (Maa Ke Pait Me Hi) Chaar Baaton Ke Likhne Ka Huqm Diya Jata Hai.
(1). Uski Rozi Ka, (2). Uski Maut Ka,
(3). Uskey Nek Ya Bura Honey Ka (4). Aur Ye Ki Wo Ladka Hai Ya Ladki”.
(Sahih Bukhari Volume 009, Book 093, Hadees-546)

3/5 - (9 votes)

Leave a Reply

Related Posts: