♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Aur Jhukey Rakhna Unn Dono (Maa-Baap) Ke Liye Apne Kandhe Rahem Ke Sath,
Aur Dua Karte Rehna.”
– (Sureh Al-Isra, Aayat-24)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Amr (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ki,
Ek Aadmi Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Haazir Hokar Arz Kiya –
“Mai Hijrat Ki Baith Karne Ke Liye Aapki Khidmat Me Haazir Hun,
Aur Apne Maa-Baap Ko Rotey Hue Chhor Kar Aa Gaya Hun”
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Waapas Jaao, Aur Jis Tarah Unhey Rulaaya Hai, Usi Tarah Unhe Hasaao”.
– (Sunan Nisai, Kitabul Bait, Baab Bait Al Hijra, Hadith no.4174)