♥ Mafhoom-e-Hadees: Ibn-e-Umar (RaziAllahu Anhu) Aur Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Bayan Karte Hain, Hum Ne Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Minbar Ki Seerhio Par Farmate Huwe Suna –
“Log Jumme Chorne Se Baaz Aajayein, Warna Allah Inke Dilo Par Mohar Laga Dega Aur Phir Woh Ghafileen Me Se Ho Jayenge..”
– Muslim: Hadith no.2002,
– Nisai:Hadith no.1370,
– Ibn-e-Majah: Hadees no.794
Related Posts:
Subah Ki Namaz Ke Baad (Naffil) Namaz Se Mana ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Subah Ki Namaz Ke Baad (Naffil) Namaz Perhne Se Mana Farmaya, Hatta Ke Suraj Achi Terha Zahir Ho Jaye , Aur Namaz Asr Ke Baad (Naffil) Namaz Perhne Se Mana Farmaya. Hatta Ke Suraj Achi Terha Gayab Ho Jaye.. - (Bukhari, Mawaqiat Salaat, Hadith no.581, - (Muslim, Salaatul Musafreen, Hadith no.825)
Uska Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Koi Shakhs Namaz Ki Wajah Se Jab Tak Kahi Par Ruka Rahega Uska Ye Sara Waqt Namaz Me Shumar Hoga Aur Farishte Uske Liye Dua Karte Rahenge Ki - Aye ALLAH! Iski Magfirat Farma Aur Iss Par Apni Rehmat Nazil Kar (Farishte Tab Tak Ye Dua Karte Hain) Jab Tak Wo Namaz Se Farig Hokar Apni Jagah Se Na Uth Jaye". - (Sahih Bukhari, Vol-4, Hadith no. 3229)
Jo Shakhs Isha Ki Namaz Jamaat Ke Saath .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Usmaan (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Jo Shakhs Isha Ki Namaz Jamaat Ke Saath Ada Karey (Usey Itna Sawaab Hai) Goya Uss Ne Aadhi Raat Tak Namaz Parhi, Aur Phir Subah Ki Namaz Jamaat Ke Saath Parhe Tou Itna Sawaab Paya Goya Poori Raat Namaaz Parhi.." - (Muslim Shareef, Kitaabul Masjid 656) ♥ In'sha'Allah-ul-Azeez!!! *Allah Rabbul Izzat Hum Tamam Ko Kehne Sun'ne Se Jyada Amal Ki Taufeeq Dey .. Aameen!!!
Jo Ghar Se Wuzu Karke Namaz Adaa Karne Chala .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Farman-e-Mustafa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hai Ke - "Jo Ghar Se Wuzu Karke Namaz Adaa Karney Chala Uskey Ek Qadam Par Gunaah Mitata Hai Aur Dusrey Par Ek Darjah Buland Hota Hai.." - (Sahih Muslim)
Namaze Nabawi in Hindi Pdf free Download Full Namaz in Hindi PDF Download, Namaz ki surah in hindi pdf, Namaz in hindi translation pdf, Complete Namaz in hindi pdf, Free Download Namaz ka tarika in hindi Pdf, Shab e Qadr ki Namaz ka tarika in hindi pdf free download, Shab e Barat ki Namaz ka tarika in hindi pdf, Namaz me padhne ki dua pdf, Sunni Namaz ka tarika in hindi pdf, Namaz ka tarika in hindi pdf, Namaz ki dua in hindi pdf, Namaj in hindi pdf file, Aasan Namaz in hindi pdf free download Namaz pdf in hindi, Namaz hindi pdf, Sachi Namaz book in…
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Padosiyon Ko Takleef Dene Se Baaz Aaya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ahmad Wa Baiheqi Ne Shoaib-Ul-Imaan Me Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki, *Ek Shakhs Ne Arz Kiya - "Ya Rasool'Allah ! Falani Aurat Ke Mutallik Zikr Kiya Jaata Hai Ki Namaz-Wa-Roza Wa Sadka Kasrat Se Karti Hai Magar Ye Baat Bhi Hai Ki Wah Apne Padosiyon Ko Zubaan Se Takleef Pahunchati Hai..." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Wah Jahannam Me Hai..." *Unhone Kaha - "Ya Rasool'Allah ! Falani Aurat Ki Nisbat Zikr Kiya Jaata Hai Ki, Uske Roza Sadka Wa Namaz Me Kami Hai (Yaani Nawafil) Wah Paneer Ke Tukde Sadka Karti Hai Aur Apni…
Jaanbhujkar Namaz chorne ka Gunah Hadees of the Day Jaanbhujkar Namaz chorne ka Gunah Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki, Allah ke Rasool (ﷺ) ne mujhe waseeyat farmayee ki: "Allah ke saath kisi ko Sharik na karna chahe Tumhare tukde tukde kar diye jaye ya tumhe Aag mein jala diya jaye aur Farz Namaz ko jaan bujh kar kabhi mat chorhna kyunki jo jaanbujh kar Farz Namaz chorh de to Allah ke Zimme se bari ho gaya (yaani ab wo Allah ki panah mein nahi) aur Sharaab na peena kyunki Sharaab har burayee ki kunji (key) hai." 📕 Sunan Ibn Maja, Jild-3, 915-Hasan हिंदी…
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada ki tou… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat is tarah hain • 2 Rakat Fajr se pahle, • 4 Rakat Zuhar ki farz namaz se pahle , •…
Jumma ke Din Ek Ghadi Aesi Aati hai Jis me Hadees of the Day | Jumuah Series Abu Huraira (R.A) riwayat karte hain ki.RasoolAllah (ﷺ) ne Jumme ke Zikr me Ek martaba farmaya - "Jum'ma ke Din Ek Ghadi aesi aati hai Jis me agar koi Musalman Banda Namaz padh raha ho aur koi Cheez Allah se mange tou Allah Rabbul Izzat Usey woh Cheez zarur deta hai. RasoolAllah (ﷺ) ne haath ke Ishare se bataya 'Woh Ghadi bahut thodi si hai.' 📕 Bukhari Sharif, Kitabul Jum'ma, Hadees 935
Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Uqba-Bin-Aamir (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Ek Roz Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Nikle Aur Uhad Ke Shaheedon Par Namaz Parhi Jaise Janaze Ki Namaz Parhte Hain Phir Minbar Ki Taraf Aaye Aur Farmaya - "Main Tumhara Paish Khaima Hunga Aur Gawah Hunga Aur Qasam Allah Ki - Main Hauz Ko Iss Waqt Dekh Raha Hoon Aur Mujhko Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Ata Ki Gayee Hain, - Yaa Zameen Ki Kunjiya Aur Qasam Allah Ki Mujhe Ye Darr Nahi Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge - Balki Ye Darr Hai Ki Tum Duniya Ki Lalach Me Aakar…
Kya baith kar Namaz padh sakte hain? https://www.youtube.com/watch?v=ojGzd-bpbHA Baith kar Namaz padhna kaisa hai? Mard ya Aurat Kya Baith Kar Namaz Padh Sakti hai Ya nahi Isliye ke Zyada tar Aurtain ya Baaz log Baith kar Namaz Padhte hai, Tafseeli Jankari ke liye is mukhtsar si video ka mutala kare aur isey jayada se jyada share karne me humara tawoon kare, jazakAllahu khairan kaseera.
Murgey ko bura bhala na kaho, kyun ke wo Namaz ke liye… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Zaid bin Khalid (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (Salallahu Alaihi wasallam) ne farmaya: "Murgey ko bura bhala na kaho, kyun ke wo Namaz ke liye jagata hai" - (Sunan Abu Dawud, 5101-Sahih) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: ज़ैद बिन खालिद(रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया: "मुर्गे को बुरा भला न कहो, क्यूंके वो नमाज़ के लिए जगाता है" - (सुनन अबू दावुद, 5101-सहीह) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Sawaal Karna (Maangna) Kiske Liye Jayaz Hai ?... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Qabisah Bin Mukhiriq Al-Hilali (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - 'Teen Tarah Ke Logon Ke Alawa Kisi Ke Liye Sawaal Karna (Maangna) Jayaz Nahi' 1. Ek Wo Shakhs Jis Par Zamanat Ka Bojh Ho Aur Jab Tak Wo Zamanat Se Nijat Na Pa Le Iske Baad Usko Baaz Rahna Chahiye, 2. Dusra Wo Shakhs Jisko Aisee Musibat Pesh Aaye Jiski Wajah Se Uska Maal Tabah Ho Gaya Ho Tou Uske Liye Bhi Sawal Karna (Maangna) Durast Hai Yaha Tak Ki Wo Aisa Sarmaya Hasil Kar Le Jis Se Wo Guzar Basar…
♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka… Roza Chorne ka Azab Kin Logo ko Roza na rakhne ki chooth hai aur bewajah Roza chorne ka azab kitna khatarnak ho sakta hai? tafseeli jankari ke liye is audio clip ka mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai? ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫ Roze Chorne se Bacha Kare ♫ Saher aur Iftar Ka Tariqa aur Kuch Galat Fahmiya ♫ Ramzan me Roze ki Halat me Humbistari karne ka Gunaah aur…