♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira Wa Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Kuwaari Ladki Ka Nikah Na Kiya Jaye Jab Tak Uski Razamandi Na Hasil Kar Li Jaye
Aur Uska Chup Rehna Uski Razamandi Hai,
– Aur Na Nikah Kara Jaye Bewah(Widow) Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li Jaye”.
– (Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Aayesha (RaziAllahu Anha) Ne Arz Kiya –
“Ya RasoolAllah! Kuwari Ladki Tou Nikah Ki Ijazat Dene Me Sharmati Hai.”
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Uska Khamosh Ho Jana Ijazat Hai”.
– (Bukhari Sharif, Jild 3, Safa 76, Hadith no.124, Baab No.71)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Baligh Kuwari Ladki Se Uske Nikah Ki Ijazat Li Jaye
– Agar Khamosh Ho Jaye Tou Ye Uski Taraf Se Ijazat Hai.
– Agar Inkar Kare Tou Uspar Koi Jabardasti Nahi”.
– (Tirmizi Sharif, Hadith no.1101, Jild-1, Safa-567)