Kya Qurbani se pehle Aqiqa jaruri hai?

Sawal: 1

Kya Qurbani se pehle Aqiqa jaruri hai?

Jawab: Qurbani se pahle Aqiqa ho aisa koi jaruri nahi.

Agar Qurbani karne waale ke paas wus’at ho to Qurbani ke saath Aqiqah bhi kar sakta hai.

Basharte ke Qurbani aur aqeeqa dono ka janwar alag hona chaahiye taaki dono Sunnatein poori ho jaayen.

lekin agar maali wus’at na ho to beharhaal Qurbani ka waqt hai is wajah se Qurbani dena hi afzal hai.

Aur is mein koi harj ki baat nahi ke bachpan mein us ka Aqeeqah nahi huwa tha kiunki aqeeqa Sunnat e Mu’akkadah hai is wajah se zaroori nahi hai ke pehle Aqeeqa dena wajib hai tabhi Qurbani de sakte hain yaani baghair Aqeeqa kiye bhi Qurbani de sakte hain.

Referance : Qurbani ke Masail

👉 Qurbani ke baare me Sawal aur Jawab

Leave a Reply