Kya Qurbani ka Gosht Gairmuslim ko de sakte hai?

Sawaal: 02

Kya Qurbani ka Gosht Gairmuslim ko de sakte hai?

Jawab: Ji haa bilkul! Qurbani ka Gosth aise Gairmuslimo ko de sakte hai jo Islam se dushmani nahi rakhte.

Allah Taala farmata hai:

“Allah tumhe un logo ke saath Dosti aur Insaf karne se nahi rokta jin logon ne Deen ke muamle me tum se Jung nahi ki, aur naa hi tumko Tumhare gharo se nikala, beshaq Allah Insaf karne walo ko pasand karta hai.”

[Surah Al Mumtahina 60:8]

Shaiykh bin Baaz(R.h) ka Qaul hai ke:
“Aise Gairmuslim jo Islam se Dushmani nahi rakhte, jaise Mustaamin ya Muaahid aise logo ko Qurbani ka gosth diya ja sakta hai.”
[ Majmua fatawa ibne baaz 18/48 ]

Referance : Qurbani ke Masail

👉 Qurbani ke baare me Sawal aur Jawab

Leave a Reply