♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) Ne Farmaya –
Man Alaqtan Tammimatan Faqad Ashrak”
Jisne “Taweez” Latkai Usne Shirk Kiya.
– [Musnad Ahmad (4/156) No. 17458 and Mustadrak al-Haakim (4/243) No. 7513]
# Tou kya humare badey Galat they jinhone Taweez ka Aqida ijad kiya ?
– Ab Bolney mat Lagayiye ,..
♥ Hadees Ka Mafhoom Hai ke – Rasool’Allah (ﷺ) Farmatey hai –
“Jo Mar Gaye, Wo Apne Hisab Ko Pohoch Gaye,
Unke Talluk Se Husne Guman Rakho. Jab Bhi Kaho Accha Kaho! Bura Mat Kaho ..”
– (Sunan An-Nasai, Vol 3 , Hadith No,1938)
* * * * *
# Lekin Kuch Logon ka Mu’amla thoda Ulta hi Hota hai ,..
*Jab unsey kaha jaye ke “Ye Sahi hai ,.”
*Tou woh kehte hai – “kya wo Galat hai ? ,
– Kya humare Falah Badey Galat they? ,
– Falah aur Falah Hazrat Galat they?”
inki # Misaal Aisi hai ke –
” Kisi ko Phone pe bataya jaye ke “31 July ko
Salim bhai ke ghar dawat hai, Sabhi Hazraat jarur Tashreef laye,.. ”
*Tou Wo Puchne Lagte hai ke –
– “Wo Javed bhai ke Ghar Dawat nahi hai ?,
– Wo Imran bhai ke Ghar nahi hai ?,
– Wo Kaseem Bhai ke Ghar nahi hai ? ”
*Ab jab bata diya Ke – Dawat kaha hai
– tou ye puchne ki jarurat hi nahi ke
“Kaha Nahi Hai ….”
*Tou Jab Haq Baat Bata di Gayi Kitabo-Sunnat se
tou fizul ke fatwo ki koi Ahmiyat nahi rehti mere Azeezo …
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
Allah Hum Tamam Ko Haq Kehne, Sun’ne
Aur Samajh Ke Saath Amal Ki Taufik Ata Farmaye..
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
• ummat-e-nabi.com/home
• Fb.com/HadiseNabwi