• Sawaal: Aksar Log Tassuf Me Apna Akida Sabit Karne ke Khatir Intehayi Ghatiya Nazm Ikhtiyar karne lag jatey hai, hatta ke Gaali-Galoch tak karne lag jatey hai, kya ek Sahibe Ilm ke liye aisi harkate jayaz hai ?
» Jawaab: Sabse pahli baat – ke koi bhi Accha aur saccha Aalim yeh kaam nahi karega..
uske Aalimana shaan ke khilaf hai, aur Mafhoom-e-Hadees hai ke – “Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena” – (Sahih Al-Bukhari, Hadith no.2459) …
Tou Fir Ummat ka ek Aalim Kaise Gaali Galoch bhara najm ikhtiyar kar sakta hai ?
Lekin aisa hota hai, Log Tassuf me ek-dusre ko Gaali detey hai. bura-bhala kahte hai, aur kya-kya nahi ho raha Sab dikh Bhi Raha Hai,
Ab Sawaal aata hai ke – “kya Sahaba ke dour se Ulema aapas me jhagdtey they ?”
Yaad rakhiye Sahaba aapas me jhagtdey nahi they ..
Unme Yakinan Fiqri Ikhtelaaf tha, lekin jab bhi Daleel aa jaati wo sir kham kar detey.
* Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu) ek baar Shaam (Syria) ja rahe they, rastey me khabar mili Tawoon faila hai, Fir bhi Wo Nahi Maaney Aur kahne lage hum jaenge waha! hum tou Allah par Aitmad karte hai..
Lekin ek Sahabi ne kaha Ke, Rasool’Allah Se Maine Suna Ke – “jaha Tawoon failey, Bimariya failey waha na jao’..
yeh Sunkar unhone apne aap ko Rok diya, ke bus Rasool’Allah ki Hadees aa gayi baat khatm.
* Usi tarha Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Parda farmane ke baad bhi Sahaba me bohot bada Ikhtelaaf hua dafnane ne talluk se, Lekin ek Sahabi ne RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ki hadees pesh ki – “Ke Nabi Jaha Inteqal kar jaye wahi unhe madfun kiya jata hai”
* Tou Sahaba(RaziAllahu Anhu) me Ikhtelaaf tha, lekin jaise hi Dalaeel aa jaati, sir kham karte ..
lekin aajka mu’ama thoda uss sey mukhtalif hai.. ke Daleel pesh karne ke baad bhi log usko mantey nahi .. aur fir uspar hujjat aur behas chalti rehti hai ..
accha yeh Ilmi behas ho tou thik hai ,.. lekin yeh Tassufi behas hoti hai..
“ke humko aapki baat man’na hi nahi hai.. ab aap jo bhi Daleel do..”
iss Tarha se banda Tassuf me Aisi Aisi Baatey Karne Lag Jata Hai hota hai ke wo Gumaan bhi nahi karta kis hadd tak shariyat ke khilaf ja raha hai. jo ke durust nahi hai…
Lihaja har Musalman khula Jehan rakhey.. khuli soch rakhey,
aur har Momin ke baarey me jo kitna hi deen par Amal karta ho, thoda hi kyu na karta ho ,.. Husne-Jehan rakhey Uske baare me ke wo mera accha bhai hai ,..
Warna Ummat me Inteshar Failane walo ki kami nahi hai ..
Log chahtey hai ke hum alag ho aur hum wakay me harkate karke bata rahe hai ke hum alag hai …
• AADABE IKHTELAAF: – @[156344474474186:]
Allah ke liye agar hum’me aur aap me bhi kabhi Ikhtelaaf hota hai, Daleel Aajaye Chahe Quraan ki Ayat, Sahih Aahadees Aajaye, ya fir usmey koi baat na miley Sahaba ke aasar se mil jaye, unki Zindagi ke halato se mil jaye.. tou sir kham kar dijiye.. aur muamle ko chorr dijiye..
fir goya humne kitna hi jhagda kiya tha uske liye.. asal tou yeh hai Itteba-e-Sunnat, Itteba-e-Quraan, Itteba-e-Shairiyat Asal hai humare liye.
fir chahe maine uske khilaf kitna hi bola ho..
aaj mujhe Daleel mil gayi mai muafi chahta hu, mujhse galati ho gayi.. apni baat ko wapas le lijiye ! Allah aur uske Rasool(Sallallahu Alaihay Wasallam) ki baat ke samney jhuk jayiye.. yeh humara Usool hona chahiye Humesha ..
» Sabak: Lihaja Sahaba apne daur me ladhte jhagadey nahi they.. lekin unme fiqri Ikhtelaaf hota tha..
Aur unka yeh Ikhtelaaf unhe Be-ijjati par, Zaleel hone par, Rishtey todney par, Mooh na dekhney par, Gaaliya dene par majbur na karta tha ..
bulki aur Mohabbat ko badha deta ek-dusre ke liye.. ke yeh fiqri Ikhtelaaf hai., mai aur daleel dhund kar launga,. aap bhi tehkik kijiye … (SubhanAllah!!)
♥ InshaAllah Ul Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Bhi Aadabe Ikhtelaaf Me Husne Akhlaq Bhara Nazm Ikhtiyar Karne ki Taufiq Dey,
# Tamam Kism Ke Jahilana Fitno se Humare Imaan Ki Salamti Ata Farmaye,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Firqa