Kya Dawat-e-Islam Me Badd’Kalami Jayaz Hai ? …

• Sawaal: Kya Dawat-e-Islam Me Badd’Kalami Jayaz Hai ?
» Jawaab: Aksar Dekha Jata Hai Ke Kuch Logon Ke Khilaf Jinhe Hum Apna Mukhalifin Jante Hai.. Unke Khilaf Bolte Wakt Hum Aise Aise Lafz Istemal Karne Lag Jate Hai Jo Shariyate Islamiya Ki Taalimat Ke Khilaf Jatey Hai Jo Hargiz Jayaz Nahi …
* Badd’akhlaqi Ke Tamam Hado Ko Paar Kar Hum Yeh Samjhne Lag Jate Hai Ke Allah Aur Uske Rasool Ke Deen Ki Khidmat Kar Rahe Hai,…
* Na Janey Hum Kyu Bhool Jate Hai Ke “Allah Tou Beniyaj Hai” (Al-Quran 112-2). – @[156344474474186:]
Usko Kisi Cheez Ki Garaz Nahi … Wo Kisika Mohtaz Nahi..
Fir Hum Kyu Bhul Jaatey Hai Ke – Allah Ko Aise Log Kyu Pasand Aayenge Jo Apna Akida Sahi Sabit Karne Ke Liye Badd’akhlaqi Ke Mayar Ko Paar Kar Jatey Hai..

Yaad Rahe Ke –
* Deen-e-Islam Ki Sarbulandi RasoolAllah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Nayab Akhlaq-e-Mubarak Se Qayam Hui Hai.,.
* Rasool’Allah Ne Kabhi Kisi Se Badd’akhlaqi Bhara Andaz Ikhtiyar Na Kiya..
* Naa Hi Sahaba Ne Kabhi Dawat Me Badd’akhlaqi Ka Mujahira Kiya..
* Naa Hi Tabeyin, Tabey Tabayeen Aur Naa Hi Aslaf Me Se Koi Wakiya Nazar Aata Hai Ke – Unohne Deen Ki Sirbulandi Ke Liye Badd’akhlaqi Bhara Nazm Ikhiyar Kiya Ho…

Fir Hum Jo Khudko Ashike Rasool Kahte Hai –
“Humne Kaise Yeh Badd’Akhlaki Bhara Andaz Ikhiyar Kar Liya. ?”

Aap Log Aaj Ki New Technologies Ke Jarye Social Sites Par, Tarah Taraf Ke Mobile Applications Par Deen Ka Paigam, Sahi Akeeda Logon Me Aam Karne Ki Jaddo Jehad Karte Rahte Hai..
Masha’Allah Yeh Bohot Hi Behtareen Amaal Hai..
Lekin Yaad Rahe! Agar Deen Ki Dawat Rasool’Allah Ki Sunnato Ke Barkhilaf Rahi Tou Usey Allah Ke Nazdeek Kabile Kabuliyat Ki Ummid Bhi Nahi Rakhni Chahiye…

Meri Aap Tamaam Se Darkhwast Hai..
Agar Apko Lagta Hai Ke Aap Ka Akida Haq Hai
* Tou Sabr Se Aap Apne Mukhalifeen Ko Dawat Dey..
* Aur Ahsan Bharey Andaz Se Apni Baate Unke Aagey Rakhne Ki Kohsih Kare
* Ikhlas Ke Sath Kitabo Sunnat Ke Hawale Se Apni Dawat Pesh Kare..
* Mohabbat Aur Shafqat Ka Mujahira Kare..

Inshaallah Ul Azeez !! Allah Jisko Bhi Aapke Jarye Hidayat Dena Chahey Wo Jarur Hidayat Paa Kar Rahega ..
Aur Agar Wo Apki Baato Se Mutmayeen Na Hua..
Tou Jaan Le Ke Shayad Allah Uske Jarye Aapke Ilm Me Ijafa Karwana Chahta Ho,,
Ke Goya Aapko Aur Ilm Hasil Kar Uski Islah Karni Hai …
Lekin Apni Badd’akhlaqi Bhare Najm Ko Apne Upar Hawi Na Hone Do..

Aur Agar Humne Aisa Na Kiya,
Apne Gusse Ko Na Roka ,
Aur Apne Mukhalifeen Par Baddkalami Karne Lag Gaye …
Tou Yeh Ek Zulm Hoga .. Jo Aahadees Me Aata Hai Ke –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
“Badzubani Zulm Hai Aur Zulm Jahannam Me Hai.
– (Ahmad, Tirmizi Sharif) – @[156344474474186:]
Allah Ta’ala Hume Aise Zulm Se Bachney Bachaney Ki Taufiq Ata Farmaye..

Iss Mudde Per Quraan-e-Karim Ki Rahnumaai Dil Ko Badaa Sukoon Deti Hai, Rabb-e-Ta’ala Ne Burayi Ko Khatm Karne Ki Iss Ayat Me Kya Khoob Taaleem Di Hai Ki,
♥ Al-Quraan: “Bhalayi Aur Burayi Ek Jaise Nahi Ho Sakti Tou Tum Burayi Ko Apne Bhale Sulook Se Door Kar Do, Phir Kya Dekhoge Ki Jis Shakhs Aur Tumhare Beech Dushmani Thi Unme Aisa Ho Jaayega Jaise Koi Pakke Dost Hotey Hai”.
(Quran 41:34)

In shaAllah-Ul-Azeez ..
# Allah Ta’ala Hum Tamam Ko Apne Akhlaq Me Narmi Ikhityar Karne Ki Taufiq Ata Farmaye..
# Kitabo Sunnat Ke Hawale Se Deen Ka Paigam Logon Me Aam Karne Ki Taufik Ata Farmaye..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Firqa

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: