✦ Qayamat ki Nishaniya : Maal ki Kasrat hogi aur koi Zakat lene wala nahi hoga ✦
1). Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se marvi hai ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya –
“Qayamat Qayem na hogee Hatta ke Maal bakasrat ho jayega. (Mall-O-Doulat ki) itni kasrat hogi ke
aadmi Zakaat ka Maal leke niklega magar koi Zakaat lene wala nazar nahi aayega.”
– Sahih Bukhari Kitab-Al-Zakaat #1411
2). Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya –
“Qayamat se Qabl Maal-O-Doulat ki farawani hogi, Hatta ke aadmi Sadqa karne ke liye Maal le ke niklega magar jis Shakh par Maal pesh karega woh yehi kahega “Mujhe Iss ki Zaroorat nahi.”