♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrat Saalim (RaziAllahu Anhu) Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Jo Shakhs Doosre Ki Zameen Ka Kuch Hissa Nahaq Daba Le(Bina Haq Kabza Karle)
Tou Usey Qayamat Ke Din 7 Zameeno Ki (Tah) Tak Dhansaya Jaayega”.
– (Bukhari Shareef)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrat Saed Ibne Zaid (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Jo Shakhs Kisi Ki Ek Balisht Bhar Zameen Zulm Se Haasil Karega,
Usey Qayamat Ke Din 7 Zameeno Ka Tauq(Huge Belt or Patta) Pehnaya Jaega”.
– (Bukhari Sharif, Muslim Sharif)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrat Abu Hurra Rakkashi (RaziAllahu Anhu)
Apne Chacha Se Riwayat Karte Hain Ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Khabardar! (Kisi Par) Zulm Na Karna Aur Kaan Khol Ke Sunlo Ke
Kisi Shakhs Ka Maal (Tumhare Liye) Halaal Nahi Ho Sakta
Magar Woh Dil Se Raazi Na Ho Jaaye.”
– (Baihaqi Sharif)