Khudpasandi Se Parhez Kiya Karo ….

» Hazrate Ayesha Siddiqa (RaziAllahu Anha) Se Pucha Gaya Ke,
“Aadmi Gunahgar Kab Hota Hai?,
Hazrate Ayesha Siddiqa Ne Farmaya – “Jab Usey Ye Gumaan Ho Ke Mai Nek-O-Kaar Yaani Nek Aadmi Hun”.
(Ihya-Ul-Uloom, Jild 3, Page 452)

» Hazrate Sayyiduna Zaid Bin Aslam Fermatay Hain,
“Apne Aap Ko Nek-O-Kaar Mat Qarar Do Kyun Ke Ye Khudpasandi Hai”.
(Ibid)

» Hazrate Sayyiduna Mutarrif Farmatay Hain,
“Mai Raat Bhar Ibadat Karun Aur Subah Khudpasandi Me Parroon
Yaani Ye Samjhun Ke Mai Tou Bada Nek Aadmi Hun Iss Se Behtar Yehi Hai Ke
Raat Soya Rahun Aur Subah Raat Ki Ibadat Se Mahrumi Per Afsos Karun”.
(Ibid)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: