♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Sauban (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Main Khatam-Un-Nabiyeen Hu! Mere Baad Koi Nabi Nahi Hoga..”
– (Abu Dawood, Tirmizi, Mishkat:Page-465)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Rasool Ka Silsila Mujh Par Khatam Kar Diya Gaya”.
– (Bukhari, Muslim, Mishkat:Page-511)
» SABAQ: Inn Hadees-e-Mubarak Se Wajeh Hai ke –
Insaniyat ki Hidayat ke Liye Allah Rabbul Izzat ne Aadam (Alahi Salam) Se Lekar
Jo Nabi Aur Rasoolo Ko Mabus Kiya Wo Silsila Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Par Khatm Hota Hai ,..
*Ab Aap(Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Baad jo Bhi Nabwoot ka Dawa Kare –
– Wo Mardud Hai, Gumraah hai, Shaitaan Ka Pairokaar hai.
*Lihaja Hume Chahiye ke Deeno Shariyat Ka Sahi Ilm hasil kare
– Aur Inn Tamam Tar Jhutey Nabi-aur Rasool ka Dawa Karne Walo Ke Fitno Se Bachey ,..