♥ Mafhoom-e-Hadees: Wahshi Ibn Harb (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se
Sahaba (RaziAllahu Anhu) Ne Pucha Ki,
“Ya Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Hum Khana Khate Hai
Lekin Sair Nahi Hotey (Yaani Pait Nahi Bharta)”
*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Shayad Tum Alag Alag Khate Ho?”
*Unhone Kaha Ki – “Ji Haan !”
*Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Tum Log Apne Khane Ko Saath Milkar Aur Allah Ka Naam Lekar Khaya Karo,
Tumhare Khane Me Barqat Hogi”.
– (Sunan Abu Dawood, Vol 3, 364)