Khala Ka Darja Maa Ki Tarah Hai …

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah-Bin-Umar (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki,
Ek Shaksh Rasooll’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Baargah Me Hazir Hua Aur Arz Kiya Ke –
“Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Mujhse Bohot Bada Gunaah Ho Gaya Hai! Kya Mere Liye Tauba Hai ? ..”

*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: “Kya Tumhari Maa (Zinda) Hain ?
*Usney Kaha: “Nahi”

*Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Phir Farmaya: “Kya Tumhari Khala Hain ? ”
*Usney Kaha : “Ji Haan!”

*Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aagey Farmaya aur Kaha:
“Phir Unkey Saath Husn-e-Sulooq(Respectful Behaviour) Karo ,..”
– [Jami At-Tirmidhi, Vol 1, Hadith 1966 (Sahih)]

♥ Mafhoom-e-Hadees: Al-Bara-Bin-Azib (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Khala (Ka Darja) Maa Ki Tarah Hai…”
– [Jami At-Tirmidhi, Vol 1, Hadith 1965 (Sahih)]

Leave a Reply