Jumaa Me 3 Tarah Ke Log Aatey Hain ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Ibn Amr (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
Jumaa Me Teen (3) Tarah Ke Log Aate Hain,
*(1) Ek Tou Wo Jo Waha Aakar Behuda Baat Kare, Uska Hissa Yahi Hai (Yani Usko Kuch Sawaab Na Milega) Aur
*(2) Dusra Wo Hai Jo Wahan Aakar Allah Subhanahu Ta’ala Se Dua Kare!
Agar Allah Chahega Tou Uski Dua Qubool Karega Aur Chahega Tou Nahi Karega, Aur
*(3) Teesra Wo Hai Jo Waha Aakar Khamoshi Se Baith Jaye, Na Logon Ki Gardanein Faand Kar (Over The Neck) Aagey Badey Aur Na Kisi Ko Takleef Pahuchaye Tou Uska Ye Amal Iss Jumma Se Lekar Agle Jumma Tak Balki Aur Teen (3) Deen Ziyada Tak Ke Liye Gunaahon Ka Kaffara Ban Jayega,..
– Kyunki Allah Subhanahu Ta’ala Ka Irshaad Hai Ki Jo Shakhs Ek Neki Karta Hai Usko 10 Gunaa Sawaab Milega.
(Sunan Abu Dawud, 1101)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: