♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
“Jo Log Yateemo Ka Maal NaaHaq Zaaya (Waste) Karte Hai,
Woh Apne Pait Me Bus Angaare Bharte Hai
Aur AnKarib Jahannum Me Wasil Honge..”
– (Surah: An-Nisa, Ayat-10)
Related Posts:
Al-Quran: Yateemo ko unke maal de diya karo aur kharab maal… Quran: 19-March: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟Yateemo ko unke maal de diya karo aur kharab maal ko acche maal se tabdeel na kiya karo. 📕 Quran; Surah Nisa 4:2
Jis Ne Apni Maal Ki Zakaat Ada Kar Dee .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazarte Zabir (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki Ek Aadami Ne Arz Kiya : 'Ya Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Uss Shakhs Ke Baare Me Aap Ka Kya Khayaal Hai Jisne Apne Maal Ki Zakaat Ada Kar Dee ?' Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: 'Jisne Apni Maal Ki Zakaat Ada Kar Dee, Uss Maal Ka Sharr (Buraayi) Uss Par Se Jaata Raha.' - [Ibn Khuzaymah As-Sahih, 04/13, Raqam-2258, Hakeem Al-Mustadrak, 01/547, Raqam-1439, Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Awsat, 02/161, Raqam-1579, Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/301, Raqam-1111]
Allah ke Khaas Bando ki pehchaan ye hai ke wo Zameen par… Allah Rabbul Izzat Quraan-e-Kareem me Apne Khaas bando ki pehchaan ke bare me farmata hai !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Aur Allah ke khaas bandey tou woh hai jo Zameen par Aahistagi se chalte hai aur Jab Jahil unsey (Jahalat) ki baat kare tou kahte hai ke Salaam (tum salamat raho), (63) Aur woh log jo Apne Parwardigar ke wastey Sajde aur Qayam me raat kaat dete hai, (64) Aur woh log jo Dua karte hai ki Parwardigara humse Jahhanum ke Azaab fere rehna kyunki uska Azaab bohot (Sakht aur Payedar hoga), (65) Beshaq woh (Jahhannum) bohot bura thikana hai, (66) Aur…
Wasiyat Ka Huqm Quraan-e-Kareem Ki Roushni Me ..... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Tum Par Farz Kiya Jata Hai Ki Jab Tum Me Se Kisi Ke Maut Ka Waqt Aa Jaye Tou Agar Wo Kuch Maal Chorh Janey Wala Ho Tou Maa Baap Aur Rishtedaron Ke Liye Dastur Ke Mutabiq Wasiyat Kar Jaye Ye Laazim Hai Parhezgaron Par. Phir Jo Koi Usey Sun'ne Ke Baad Badal Daaley Uska Gunaah Usi Par Hoga Jo Usey Badlega, Beshaq Allah Bada Sun'ney Wala Aur Jan'ney Waala Hai". - (Surah 2. Al-Baqara, Aayat : 180-181)
Mahr aur iske Ahqaam aur Masail .... !!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! » (1). Mehar Ki Adaygi Me Khush Dili Ka Muzaihra Kare ! ♥ Al-Quraan: "Aur Aurto Ko Inke Mehar Khushi Se Do" - (Surah Nisaa: Aayat 4) - Is Aayat Se Sabit Hota Hai Ke Mehar Ki Adayegi Me Khush Dili Ka Muzaihra Karna Chahiye. » (2). Mehar Ki Adaygi Me Faraagh Dili Chahiye ! ♥ Al-Quraan: Ye(Mehar) Wo Zyada De Jiske Haath Me Nikah Ki Grah Hai Aur Aye Mard Tumhara Zyada Dena Parezhgaari Se Nazdeek Tar Hai Aur Aapas Me Ek Dusre Per Ehsan Ko Bhula Na Do Beshaq Allah Tumhare Kaam Dekh Raha Hai.…
Imanwale tou Apne Parwardigar par Bharosa Rakhte Hai ... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "(Logon) Tumko Jo Kuch (Maal) Diya Gaya Hai Woh Duniya Ki Zindagi Ka Chand Roz Saajo-Saaman Hai Aur Jo Kuch Allah Ke Yaha Hai Woh Kahi Behtar Aur Paaydar Hai (Magar Yeh) Khaas Unn Logo Ke Liye Hai Jo Emaan Laaye Aur Apne Parwardigar Par Bharosa Rakhte Hai". - (Surah Ash-Shura, Aayat-36)
Maal bechte waqt Kasam khane ke nuksan Hadees of the Day Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo, ki ye Agarchey Maal ko tou Bikwa deti hai, magar Barkat ko khatm kar deti hai." 📕 Sahih Bukhari, 2087 Note: Aksar dekha jata hai ke log koi saman bechte wakt qasam khate hai ke Allah ki qasam maal original quality ka hai, Allah ki qasam humne ye maal itne itne me kharida hai, bus hum itna hi kama paate hai. wagera wagera. wo aisa isliye…
Allah Apne Bando Me Kinhe Pasand Karta Hai ? .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! » Aur Allah Sabr Karne Walon Se Mohabbat Karta Hai. - (Al-Imran, 146) » Beshak Allah Ta'ala Insaf Karne Walon Se Mohabbat Karta Hai. - (Al-Mumtahina, 8) » Beshak Allah Ta'ala Unn Se Mohbbat Karta Hai Jo Uss Per "Tawakkala" Karte Hain. - (Al-Imran, 159) » Beshak Allah Ta'ala Un Se Mohabbat Karta Hai Jo Bohot Taubah Karte Hain. - (Al-Baqara, 222) » Aur Allah Talaa Paak Rahne Walon Se Mohabbat Karta Hai. - (Sureh Tobha, 108) » Jo Ghusse Ko Pee Jate Hain Aur Doosro'n Ke Kasoor Muaf Kar Dete Hain, Aisey Log Allah…
Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai .... ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Bhala Jis Insan Ka Sina Allah Ne Islam Ke Liye Khol Diya Hai Bas Wo Apne Rab Ki Taraf Se Aaye Hue Noor Ki Roshni Me Hai,. Ab Jin Logon Ke Dil Allah Ke Zikr Se Bhi Asar Nahi Karte, Un Ke Liye Badi Kharabi hai, Aise Hi Log Khuli Hui Gumrahi Me Hai ,.." - [Surah(39) Zumar; Aayat(22)]
Allah Ta'ala Ki Masjidein Wohi Aabad Kartey Hain Jo .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Allah Ta'ala Ki Masjidein Wohi Aabad Karte Hai Jo Allah Ta'ala Par Aur Aakhirat Par Emaan Laatey Hain Aur Namaz Parhtey Aur Zakaat Detey Hain Aur Allah Ta'ala Ke Siwa Kisi Se Nahi Dartey, So Wo Log Ummedwaar Hain Ki Hidayat Walon Me Se Ho". - (Al Quran, Surah At-Taubah (9) Ayat 18)
Jo Log Rasool'Allah Ki Mukhalifat Karte Hai .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! Allah Ta'ala Apne Bando Se Uske Rasool Ki Tazeem Me Nasihat Farmata Hai Ke - "(Aye EmaanWalo!) Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Bulaney Ko Aisa Khayal Na Karna Jaisa Ki Tum Aapas Me Ek Dusrey Ko Bulatey Ho. Beshaq Allah Ko Ye Malum Hai Jo Tum Me Se Aankh Bacha Kar Chal Detey Hai".. Isi Ayat Me Allah Ta'ala Aagey Farmata Hai - "Tou Jo Log Unke(RasoolAllah Ke) Hukm Ki Mukhalifat Karte Hai Unko Darna Chahiye Ki Unpar Koi Aafat Parh Jaye Ya Takleef Dene Wala Azab Nazil Ho". - [Surah(24) An-Noor: Aayat-63] - @[156344474474186:]…
Quraan-e-Kareem ..... ♥ Quraan-e-Kareem ♥ 22 Saal, 2 Maah, 22 Din Me Nazil Hua aur Isme Siparey → 30 Sajdey → 14 Manzil → 7 Surtein → 114 Makki → 86 Madni → 28 Ruku → 540 Aayat → 6236 Huroof → 323760 Zabar → 53243 Zer → 39582 Pesh → 8804 Madd → 1771 Tashadid → 1243 Nuqtey → 105681 1. Sawaal: Quraan Majid Me Waqfe Laazim ( ﻡ) Kitne Hain ? » Jawaab: Quraan Majid Me Kul 87 Waqfe Laazim Hai. Waqfe Laazim Ka Matlab Ye Hai Ki Quraan Shareef Ki Jis Aayat Me Memm (ﻡ) Ki Shakal Me Nishaani…
Rashk Kin Insano Par Hona Chahiye ? .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai - Rashk Do Hi Insano Par Hona Chahiye - ∗ (1). Jise Allah Ne Quraan Ka Ilm Diya Aur Wo Iss Ke Sath Raat Ki Gehrayion Me Khada Ho Kar Namaz Parhta Raha. ∗ (2). Jise Allah Ne Maal Diya Aur Wo Mohtajon Par Din Raat Khairat Karta Raha. - (Bukhari : Hadees-5025, Kitab-Fazaile Quran : Bab-Quran Parhne Wale Par Rashk Karna Jayaz Hai) • Note : Koi Neymat Dekh Kar Ye Khayal Paida Ho Ke Ye Neymat Uss Ke Paas Bhi Rahe Magar Mujhe Bhi Mil Jaaye! Isey Rashk Kehte Hai.…
Fazail-e-Quran: Part 5 ✦ Waqia 2 : Jam'ad Asadi (R.A.) ka Iman lana: Aap Nabi-e-Kareem (ﷺ) ke Aailan-e-Naboowat se pehle ke ek dost they. Hua youn ke jab Aap (ﷺ) ne Islam ki dawat di fir kaafi arse baad Insey mulaqaat hui. yaani pehle dosti thi fir jab naboowat ka ailaan kiya Rasool’Allah (ﷺ) ne tou unko pata nahi chala. Uske baad jab wo ek baar Makka aaye tou logon ne bataya ke tumhara dost Muhammad (ﷺ) tou Gumraah ho gaya, apne baap-dada ke deen se fir gaya ,.. majnoon ho gaya hai.. (Maaz'Allah) ! Jam'ad Asadi (RaziAllahu Anhu) Dour-e-Jahalat me Jhaad Phoonk…
Kaun sa Maal Rakhe ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Sahabi-e-Rasool se Riwayat hai ke, Jab Sone aur Chandi ke bare me Aayat Nazil hui tou log (Sahaba) kehne lagey ke ab Kaun sa Maal hum apne liye rakhe ? Umer (RaziAllahu anhu) ne kaha: "Main isey tumare liye malum karke aata hu,.." aur Aapne Uoont (Camel) par sawar Hokar isey tez daudaya , aur Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke paas pahunche, Main bhi aap ke piche tha, Unhone arz kiya: "Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) hum kaun sa Maal rakhe ? ,." Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya: "Tum me har koi Shukr karne…