Jis Shakhs Ko Sirf Duniya Ki Fikr Ho Tou ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdul Rahman (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
*Jis Shakhs Ko Sirf Duniya Ki Fikr Ho:
Tou Allah Ta’ala Uske Kaam Me Pareshaani Daal Dega,
Aur Uski Muflisi Dono Aankhon Ke Darmiyan Kar Dega
Aur Duniya Usko Utni Hi Milegi Jitni Uski Taqdeer Me Likhi Hai.

*Aur Jiski Niyat Aakhirat Ki Taraf Ho:
Tou Allah Ta’ala Uskey Sab Kaam Durast Kar Dega
Aur Uskey Dil Me Be-Parwahi Daal Dega
Aur Duniya Bila Shuba Uske Pass Aayegi”.
(Sunan Ibn Majah)

Leave a Reply