Jis Qoum Me Khayanat Ka Baazar Garm Hoga

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat He Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jis Qoum Me Khayanat Ka Baazar Garm Hoga Uss Qoum Me Allah Ta’ala Dushman Ka Khauf Aur Dahshat Faila Dega,
Jis Mua’ashare Me Zinaa Ki Waba Aam Hogi Woh Fanah Ke Ghat Utar Ker Hi Rahega,
Jis Mua’ashre Me Naap-Toul Kami Aur Bad-Dayanati Ka Riwaj Aam Ho Jayega Woh Rizq Ki Barkat Se Mahrum Ho Jayegi,
Jis Muaashre Me NaaHaq Faisle Honge Wahan Khoonrezi Laziman Ho Ker Rahegi,
Aur Jis Qoum Ne BadAhdi Ki Uss Per Dusman Ka Tasallut BaharHaal Ho Ker Rahega”.
(Mishkaat Sharif)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: