♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai,
“Agar Koi Shakhs Roza Rakh Kar Bhi Jhoot Bolna aur Dagabaji Karna Na Chore
Tou Allah Ta’ala Ko Uski Koi Zaroorat Nahi Ki Wo Apna Khana Peena Chor De…”
– (Sahih Bukhari, 1903)
# Sabaq: Allah Ta’ala Unka Roza Hargiz Pasand Nahi Karta –
Jo Roze Ki Behurmati Wale Kaam Kare.
Jhoot, Dagabaji, Zinaa, Chori, Chugalkhori, Yeh Sab Roze Ki Behurmati Waale Kaam Hai
Lihaza Inn Khaslato Se Apne Rozo Ki Hifazat Kare Aur Auron Ko Bhi Aagah Kare..
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
Allah Rabbul Izzat hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufeeq Dey ,…