♥ Haq Baat: Jab Koi Banda Allah Ta’ala Ki Neymat Pe “Alahmdulillah” Kehta Hai
Tou Allah Ta’ala Uss Ko Iss Se Afzal Neymat Ataa Farmata Hai”
– (Ibn-e-Maja)
Related Posts:
Allah Ki Neymat Ka Tark Karna Kufr Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Koi Banda Allah Ta'ala Ke Diye Huve Neymat Par Alahmdulillah Kehta Hai Tou Allah Ta'ala Uss Se Afzal Neymat Ata Farmata Hai". - (Ibne Maaja Hadith no.3805) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, "Jab Tumney Alhamdulillah Kaha Tou Rab Ka Shukr Ada Huwa Aur Tumhari Neymat Me Ezaafa". - (Jameul Bayan 1/90) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Jis Ne Khaleel Chiz Ka Shukr Ada Nahi Kiya Usney Kaseer Chiz Ka Bhi Shukr Ada Na Kiya Aur Allah Ki Neymat Ka…
Allah ki Neymato ka Izhar Kiya Karo ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Amr-bin-Shu'aib (RaziAllahu Anhu) Aapne Walid Se Aur Wo Unke Dada Se Riwayat Karte Hain Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya "Allah Subhanahu Ta'ala Apne Bande Par Apni Neymat Ka Izhar Pasand Karta Hai" - (Jamia Tirmidhi, Jild 2, Hadees 723-Sahih) # Sabaq: Yani Allah Subhanahu Ta'ala Ki Taraf Se Koyi Ne'mat Ata Ki Gayee Ho Tou Usko Chhupana Nahi Chahiye, aur dikhawa bhi is qadr na ho Ke Riyakari ke aadi ho jaye.. - Lihaja Jab bhi Kisi neymat Ka Tazkira ho uspar Allah Ki Humdo Sana bayan Karey ,. Jaise ke Masha'Allah, Subhan'Allah, Alahmdulillah, ShukranAllah ,..
Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna Hadees of the Day Momin ki Sifat Sabr aur Shukr karna ۞ Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmate hai: "Momin ka Muamla bhi Ajeeb Hai ke! jab ALLAH usey Neymat bakshta hai tou wo Shukr karta hai aur ispe isko Sawab milta hai aur jab Allah usey Aazmata hai aur uspe Taklif dalta hai tab wo Sabr karta hai aur ispe bhi isko Sawab milta hai." 📕 Sahih Muslim, Book 042, Number 7138 ★★★★★ WAJAHAT: SubhanAllah ! Allah Ke Nabi (ﷺ) Is Aahadees me Momin ki Sifat bayan kar rahe hai, Yaani Momin ki Khubi Ye hai ke Jab uspe Pareshani aati…
Rashk Kin Insano Par Hona Chahiye ? .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai - Rashk Do Hi Insano Par Hona Chahiye - ∗ (1). Jise Allah Ne Quraan Ka Ilm Diya Aur Wo Iss Ke Sath Raat Ki Gehrayion Me Khada Ho Kar Namaz Parhta Raha. ∗ (2). Jise Allah Ne Maal Diya Aur Wo Mohtajon Par Din Raat Khairat Karta Raha. - (Bukhari : Hadees-5025, Kitab-Fazaile Quran : Bab-Quran Parhne Wale Par Rashk Karna Jayaz Hai) • Note : Koi Neymat Dekh Kar Ye Khayal Paida Ho Ke Ye Neymat Uss Ke Paas Bhi Rahe Magar Mujhe Bhi Mil Jaaye! Isey Rashk Kehte Hai.…
Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai Aaj ki Aayat | Verse of the Day Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge." 📕 Surah Baqrah 2:262 ۞ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ۞ "जो लोग अपना माल अल्लाह की राह में ख़र्च करते हैं, फिर ख़र्च करने के बाद न तो एहसान जतलाते हैं…
Kya Hum Shukr-guzar Bandey na Baney ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Mughirah-bin-Shu'bah (RaziAllahu Anhu) Farmate hain ke - "Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) itni Dair tak Namaz Me khade Rahte Ke Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Mubarak Qadmon par Waram Aajata, Jab Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya gaya ke - Allah Subhanahu-Wa-Ta'ala ne Tou Aap ki Agli Pichli Khatayen Muaf farma Di hai (Phir bhi Ibadat Me itni Mushaqqat ? ) Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Irshad Farmaya: Kya Main Allah ka Shukr Guzar Bandah na Banu.” - [Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 4836]
Kaun sa Maal Rakhe ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Sahabi-e-Rasool se Riwayat hai ke, Jab Sone aur Chandi ke bare me Aayat Nazil hui tou log (Sahaba) kehne lagey ke ab Kaun sa Maal hum apne liye rakhe ? Umer (RaziAllahu anhu) ne kaha: "Main isey tumare liye malum karke aata hu,.." aur Aapne Uoont (Camel) par sawar Hokar isey tez daudaya , aur Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke paas pahunche, Main bhi aap ke piche tha, Unhone arz kiya: "Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) hum kaun sa Maal rakhe ? ,." Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya: "Tum me har koi Shukr karne…
Khana Kha ke Shukr ada karne waale ka darja Hadees of the Day Khana Kha ke Shukr ada karne waale ka darja TRANSLITERATION RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: "Khana Kha ke Shukr Ada Karne Wale ka Darja, Sabr karne Wale Rozedar ke Barabar hota hai." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1837 HINDI रसुलअल्लाह (ﷺ) फरमाते है: "खाना खा के शुकर अदा करने वाले का दर्जा, सब्र करने वाले रोजेदार के बराबर होता है" 📕 सुनन इब्न माजाह, हदीस 1837
Jhagdalu Rishtedaro se Sila Rehmi karne wale ki Fazilat ۞ Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Ek Shakhs ne arz kiya "Ya Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Mere baaz rishtedar hai, Mai unsey taalluq jodta hoon wo Mujh se taalluq todtey hai, Mai unke Saath accha Salook karta hoon, wo mere Saath badsalooki karte hai. aur Mai unki ziyadtio ko bardasht karta hoon, Wo mere Saath jahalat se pesh aate hai." Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne irshad farmaya "Jaisa tum keh rahe ho agar aisa hi hai tou goya tum unke mooh me garam garam raakh jhonk rahe ho aur jab tak tum iss khoobi par qayam…
Jo Log Meri Ibadat Se Mooh Mod lete Hai .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! » Aur Tumahare Rab Ka Farman Hai Mujhe Pukaro Mai Tumhari Dua Qubool Karunga. Jo Log Meri Ibadat Se Muhh Mod Lete Hai Un-Qareeb Zaleel-O-Quar Hokar Jahannam Me Dakhil Honge. - (Sure Al-Momin : Ayat-20) » Jo Log Allah Se Bina Dekhe Darte Hai Tou Unke Liye Bakshish Aur Bada Silah Hai" - (Sureh Mulk aayat no-12)
Dua: Ya Allah! meri Madad kar tera Zikr aur Shukr karney me ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Majid me farmata hai: ❝ Aur jo meri yaad se ghafil ho jata hai tou hum uss par ek shaitan muqarrar kar detey hain phir wo uska saathi ban jata hai.❞ - Surah Az-Zukhruf 43:36 ✦ Dua: Allahumma Ainni Ala Dhikrika Wa Shukrika Wa Husni Ibadatika ✦ (Ya Allah! meri madad kar tera zikr karney me, aur tera shukr ada karney me aur teri achchi ibadat karney me) - Sunan Abu Dawood 1509-Sahih ❝ Subhanallahi Wa Bihamdihi, Subhan-Allahil-Azeem La Ilaha Illallahu, Wahdahu La Shareeka Lahu, Lahul Mulku, Wa Lahul Hamdu, Wa Huwa Ala Kulli Shaiyin…
Khush-haal logon ki tarah Na-shukri karne se bacho ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Asma Bint yazeed Ansaria (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ke, wo kehti hain ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) mere paas se guzrey, aur mai apni saheliyon ke saath baithi thi. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hamein salaam kiya aur farmaya: "khush-haal logon ki tarah na-shukri karne se bacho..." Maine kaha: "Aye Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! khush-haal logon ki na-shukri kya hoti hai ?.." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Mumkin hai ke tum mein se koi aurat lambi umar apne waldein ke paas be-shohar ki zindagi guzarti rahe. Phir Allah Ta'ala tumhen khawind ata kare…
Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Doulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulaad Me) *Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Badey Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Tou Allah Ta'ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yaani Kum) Samjhoge. - (Sahih Muslim, Vol 6, Hadees:7430)
Har Haal Me Sabr Aur Shukr Se Kaam Liya Kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Masood (Razi'Allah Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya... "Jo Shakhs Gham Wo Matam Me Apne Rukhsaar (Chicks/Gaal) Ko Pitey (Slapping). Aur Girebaan Phadey Aur Jahalat Ke Logon Ki Tarha Guftagu Kare Wo Hum Me Se Nahi.." - (Sahi Bukhari. Vol-2 Hadith no.748) ♥ Insha'Allah-Ul-Azeez !!! Allah Rabbul Izzat Hume Har Kism Ki Jahalat Se Bachaye ,.. *Aameen .. Summa Ameen !!!
Ye Wo Log Hongey Jo Allah par Mukammil Tawakkul Rakhte they… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmate hai , Mujhe Jibrayeel (Alahi Salam) ne Jannat me ek bada Mahal dikhaya, jab mai usme dakhil hone laga tou mere sath meri ummat ke 70 hazar log dakhil ho gaye jo bagair hisab kitab ke jannat me jayenge ,. Sahaba ne pucha "ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! wo koun log they ? ,.." Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "ye mere Ummat ke wo log they jo Acche aur burey wakt me Allah ki Zaat par Tawakkul rakhte aur kehte ke jo kuch hai Allah ki taraf se hota…