Islamic Quiz 321 : Zameen ki Barkatein kya hai ?
Sahih jawab hai : Option ( B )
✅ Duniya ki Chamak Dhamak
Daleel :
Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya :
Main tumhare mutaliq sab se ziyada is se khauf khaata hu ke jab Allah Taala Zameen ki barkatein tumhare liye nikaal dega.
Poocha gaya Zameen ki barkatein kya hain?
Farmaya ke Duniya ki Chamak Dhamak,
ess par ek sahabi ne Nabi Kareem ﷺ se poocha “kya bhalai se burayee paida ho sakti hai?”
Nabi Kareem ﷺ is par khamosh ho gaye aur hum ne khayaal kiya ke shayad Aap par wahi nazil ho rahi hai. is ke baad apni peshani ko saaf karne lage aur daryaft farmaya, Poochnay wala kaha hain?
Poochnay waale ne kaha ke haazir hu.
Abbu Saeed Khudri (R.A) ne kaha ke jab is sawal ka hal hamare samne aa gaya toh hum ne un sahib ki tareef ki. Nabi Kareem ﷺ ne farmaya ke :
“Bhalai se to sirf bhalai hi paida hoti hai lekin yeh maal sirsabz aur Khushgawar (ghaas ki terhan) hai aur jo cheez bhi Rabi ke Mousam mein ugti hain woh hiras ke sath khane walon ko halaak kar deti hain ya halakat ke qareeb pouncha deti hain. siwaye is janwar ke jo pait bhar ke khaye ke jab is ne kha liya aur is ki dono kokh bhar gayi toh is ne Sooraj ki taraf mun kar ke jugaali kar li aur phir pakhana pishaab kar diya aur is ke baad phir lout ke kha liya aur yeh maal bhi bohat sheree hai jis ne usey haq ke sath liya aur haq mein kharch kiya to woh behtareen zariya hai aur jis ne usey najaaiz tareeqa se haasil kiya to woh is shakhs jaisa hai jo khata hai lekin aasooda nahi hota.”