Islamic Quiz 271
ka Sahih jawab hai : Option ( A )
✅ 3 Din
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Kisi Momeen ke liye ye jayez nahi ki dusrey momeen ko 3 din se ziyada chodh de (yaani naraz rahey), agar 3 din guzar jaye toh wo us sey miley aur salam karey.
Agar usney salam ka jawab diya to sawab mein dono sharik ho gaye aur agar salam ka jawab nahi diya toh wo (jawab na dene wala) sara gunaah le gaya.”
📕 Sahih Bukhari, Vol 7, Hadees 5985
Pages: 1 2