Islamic Quiz 205
ka Sahih jawab hai : Option ( C )
✅ Qabro Par Masjid Banane Wale
Daleel :
Hazrat Ayesha (R.A) se riwayat hai ki,
jab Nabi Kareem (ﷺ) bimar pade to Aap (ﷺ) ki baaz biwiyo (Umme Salma R.A aur umme Habiba R.A.) ek Girje ka zikr kiya jise unhone Habsha mein dekha tha jiska naam Mariya tha.
Umme Salma aur Umme Habiba (R.A) dono Habash ke Mulk mein gayi thi unho ne uski Khubsurti aur usme rakhe gaye tasaweer ka bhi zikr kya.
Uspar Nabi Kareem (ﷺ) ne apna Sir Mubarak utha kar Farmaya ki
“Ye Wo log hai ki jab unme koi Saleh (Neik) shakhs mar jata hai to uski Qabr par masjid tameer kar dete, phir uski Murat usme rakhte hai. Allah ke nazdeek ye log Saari Makhlooq mein Boore hai.”
Pages: 1 2