Islamic Quiz 193 : Roza kis ke liye Rakha jata hai?

Islamic Quiz 193

Roza kis ke liye Rakha jata hai?

Options Are 👇

A. Allah ke Liye

B. RasoolAllah (ﷺ) Ke Liye

C. Nek Logo ke Liye

D. Sahih Jawaab Ka Intezar

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( A )

✅ Allah ke Liye

Jawab ke liye Video Dekhe

Roza Khalis Allah ke liye Rakha Jata Hai.

Daleel :

Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me Apne Bando ko Nasihat karte hue farmata hai:

“Keh do, Beshak Meri Namaz aur Meri Qurbani aur Mera Jeena aur mera marna ALLAH hi ke liye hai jo saare jahan ka paalne wala hai.”

Surah Al-Anaam 6:162

Hadees-e-Khudsi ka mafhoom hai ke:
Rasool’Allah (ﷺ) riwayat karte aur farmatey hai ke –

Allah Ta’ala farmata hai :

“Banda Apna Khana Peena aur apni Shahwat mere liye Chorrta hai, Roza Mere liye hai aur Mai hi iska badla dunga.”

📕 Sahih Bukhari, Vol 3, Hadees 1894

Qurane Kareem ki Mukaddas Aayat aur Hadeese Mubarak me Unn Hazraat Ke liye bhi ek Nashist hai Jo Apni Ibadate Gairo ki taraf Mansub karte hue Jumerat ya Jumme ko Bujurgane Deen ki Taraf Nisbat karte hue Roza Rakhte hai.

Allah Ta’ala hum sabko hidayat dey,. “Ameen Allahumma Ameen”

Install Islamic Quiz App