Islamic Quiz 190 : Kis ke bare mein agar Zikr kiya jaye to khamoshi ikhtiyar karne ka hukum diya gaya hai?

Islamic Quiz 190

Innmein se kis ke bare mein agar Zikr kiya jaye to khamoshi ikhtiyar karne ka hukum diya gaya hai?

Options Are 👇

A. Anbiya Alaihi Salam

B. Sahaba

C. Qayamat

D. Wirasat

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( B )

✅ Sahaba

Daleel :

۞ RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya –

“jab mere Sahaba ka Zikr ho to khamosh raha karo (yani unki khatao ko nazarandaz kar diya karo),
aur jab Sitaro ka Zirk ho tab bhi khamosh raha karo
aur jab Taqdeer ka zikr ho tab bhi khamosh raha karo (yani in sabke baare mein zyada bahas na kiya karo)

📕 Al Silsila As sahiha, 3350


in sha Allah ul Azeez!
Allah Taala Hume kehne Sun’ne se jyada amal ki taufiq de,

Jabtak hume zinda rakhe islam aur iman par zinda rakhe,
khatma humara iman par,

Wa Akhiru dawana Alahmdulillahi Rabbul Aalameen!
Amen Allahumaa Ameen

Install Islamic Quiz App