Islamic Quiz 174

Islamic Quiz 174

ka Sahih jawab hai : Option ( C )

✅ Mehboob Logon ke Sath

Hadees: Insan Qayamat ke din uske sath hoga Jis se wo Mohabbat karta hai.

Daleel :

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Ek Ansari Sahabi Jinka chehra bada Ghamjada tha, Rasool’Allah (ﷺ) ke paas aaye! Rasool’Allah ne unki pareshani ka sabab pucha, tou Unhone kaha –

“Aye Allah Ke Rasool (ﷺ)! Ek Gham mujhe khaye ja raha hai, ke Mai yeh Sochta hu ke Aaj Dunia me Aapka chehra mubarak dekhey bagair Hum reh nahi patey, chalte aur firtey, uthtey aur baithtey Jab bhi aapki yaad aati, aapse aa kar Hum mil letey aapka Didaar karte aur Hume sukun milta hai.

Lekin mai yeh soch kar gham kha raha hu ke Roze Qayamat tou Aap Ambiya (Alaihi Salaam) ke sath honge, waha hum Aapka didaar na kar payenge.

Ye baat sunkar Aap (ﷺ) khamosh rahey, Aap (ﷺ) par yeh Aayat naazil hui.

۞ Al-Quran ۞

“Jo koi Allah aur Rasool ki farmabardari karey woh (Roze Qayamat) Unn logon ke sath hoga jin per Allah Ta’ala ne Inaam kiya hai. Jaisey Nabi aur Siddique aur Shaheed aur Nek log yeh behtareen Rafeeq hai.”

📕 Surah 4 Nisa: Ayat 69

۞ Hadees:  Aur fir Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya –

“Al-Maru Ma’ Man Ahab” 
“Insan (Qayamat ke Din) Uskey Saath hoga
Jis sey wo Mohabbat karta hai.”

📕 Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 189

Aur Anas bin Malik(R.A) kehte hai ke, Iss Hadees ko Sun’ne se jyada hume kabhi kisi Hadees par khushi nahi hui, ke Insan Uske sath Jis’se wo Mohabbat karta hai aur Hum Jantey hai ke Hum Rasool’Allah (ﷺ) se Mohabbat karte hai, Lihaja Humara Hisaab bhi Rasool’Allah ke sath hoga.

Tou Jisney Rasool’Allah se Mohabbat ki Yaani Rasool’Allah ki Ita’at ki. wo Rasool’Allah ke Sath hai.

– Jisney Filmstaro ki Itteba ki Unsey Mohabbat ki, Unkey Tareeko ko Apnaya, Wo Unke Sath hoga.

– Jisney Sportstars ko Pasand kiya, Unkey Tareeke par chala wo unke sath hai.

– Jisney Kuffaro Ko Pasand Kiya, Unkey Tarsh ko Apnaya aur Unkey Tareeko par chala wo Unkey sath hai.

SABAQ: Lihaja Hume Chahiye ke zindagi ke tamam shobo me Rasool’Allah (ﷺ) ko Apna Usma-tul-Hasna (Ideal aur Role Model) maaney aur Aap (ﷺ) ki Sunnato par Amal ko Lazim aur Farz jaaney.

© Ummat-e-Nabi.com

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez

# Allah Ta’ala hume Rasool’Allah (ﷺ) ki Sunnato ka Muttabey banaye,
# Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhye,
# Khatma Humara Imaan par ho,
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!