Islamic Quiz 161

Islamic Quiz 161

ka Sahih jawab hai : Option ( C )

Biddati

Woh Biddati honge jo Houz-e-Kousar se Hakaal diye jayenge.

Daleel :

Deen me Naye Aqaid Ijad Karnewale Jahannum tou Raseed honge hi, lekin Qayamat ke din Inhe Hoze Kausar se bhi hakal diya jayega.

۞ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) farmatye hai ke –

“Kuch log Qayamat ke Deen mere paas aatey honge, Houze Kousar par Mera Meember laga hoga aur waha Aasman ke Sitaro ke Manind pyaale (Glass) honge. Mai Apne Ummatiyon ko Houze Kousar ka Paani pilata hu, jo ek baar Paani piyega wo kabhi pyasa nahi hoga.
Kuch log Aayenge aur Farsihtey unhe dhakka dekar Houje Kausar se door hakalenge.

Mai Kahunga ke “Ye Mere Ummati hai Farishto! Inhe aane do.”

Tou farishtey kahenge ke –
“Allah ke Rasool (ﷺ)! Aapko Maloom nahi, Inn Logon ne Aapke jaane ke baad Aapke Deen me Biddate ijad ki.”

Tou Rasool’Allah (ﷺ) kahenge –
“Door le Jao ! Inko meri Nazro se door kar do ! Mere Jaane ke baad ye Kaam kiya Mere Deen me.”

– (Sahih Bukhari: Jild:3 Hadith No.1931 Baab: Fitno Ka Bayan)
– English Ref (Sahih Bukhari Volume 009, Book 088, Hadith no. 173 & 174)

Tou Ye Humara Kaam hai ke –
Hum Jo bhi Neki Karey, Iss Aitbaar se Karey ke Wo Allah ke Nazdeek Qabil-e-Qabool ho.

Aur Rasool’Allah (ﷺ) Tibrani ki riwayat me farmatey hai ke –

۞ Hadees: Jo Shakhs Biddat karta hai Uski Tauba Qabool nahi hoti.” [Tibrani]

Tou Jab tak Insan Deen me Biddat karta hai Uski Taubah Qabool nahi hoti, Lihaja agar apni Taubao ko Qabuliyat tak Pohchana hum chahte hai tou Deen me Biddato se Taubah karey.

*Duniya me Aap Biddate Kijiye jo karna hai!, Ijadad, Inventions, Discoveries Khub Kijiye jo karna hai.
Ha! Lekin Deen me koi Naya Aqeeda Ijad karna durust nahi.

Lihaja Agar apne Amaal ko Qabuliyat tak Pohchana hai tou Sunnat-e-Rasool ko thamey aur Deen me har nayi Biddat se, har Naye Aqeede se Airaz karey. Insha’Allah-Ul-Azeez hume kamiyabi milegi.


♥ Insha’Allah-Ul-Azeez!
Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada Amal ki Taufiq dey, Ameen Allahumma Ameen.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!