Islamic Quiz 301 : Agar Kisi cheez ko Aad (sutra) bana kar Namaz padh rahe ho phir bhi Koi bich me se Guzarne ki koshish karey toh kya karna chahiye?

Islamic Quiz 301

Agar Kisi cheez ko Aad (sutra) bana kar Namaz padh rahe ho phir bhi Koi bich me se Guzarne ki koshish karey toh kya karna chahiye?

Options Are 👇

A. Namaz tod kar phir se parhni chahiye

B. Namaz Mukammal karke Dohrani chahiye

C. Guzarne wale ko rok dena chahiye

D. Kuch nahi karna chahiye

Get Answer

Sahih jawab hai : Option ( C )

✅ Guzarne wale ko rok dena chahiye

Hadees: Abu Salih As-Samman (R.A) ne kaha ki maine Abu Saeed Khudri (R.A) ko jumma ke din Namaz parhte hue dekha. Aap kisi cheez ki taraf munh kiye huye logon ke liye usko aad banaye hue they ( yaani Aad banaye Namaz padh rahe they) ke uske beech mein se ek jawan ne chaha ke Aap ke samne se ho kar guzar jaye. Abu saeed (R.A) ne is ke seene par dhakka de kar rokna chaha. jawan ne charon taraf nazar dodayi lekin koi rasta siwaye samne se guzarne ke na mila. is liye woh phir esi taraf se nikalne ke liye lota.

Ab Abu Saeed (R.A) ne pahle se bhi ziyada zor se dhakka diya. usko Abu Saeed (R.A) se shikayat hui aur woh apni yeh shikayat Marvan ke paas le gaya. is ke baad Abu Saeed (R.A) bhi tashreef le gaye. Marvan ne kaha Aye Abu Saeed (R.A) Aap aur aap ke bhatije mein kya muaamla paish aaya.

Aap ne farmaya ke maine Nabi Kareem ﷺ se suna hai ki Aap ﷺ ne farmaya tha ke jab koi shakhs kisi cheez ki taraf munh karke namaz padhe aur is cheez ko aad bana raha ho phir bhi agar koi samne se guzrey toh usko rok dena chahiye. agar ab bhi usko israar ho toh usey ladna chahiye (Yani taqat se rokna chahiye) Kyunki woh Shaitan hai.”

📕 Sahih Bukhari, Vol 1, 509

Hadees: Busr bin Saeed (R.A) se riwayat hai ki Abu Jahim (R.A) ne kaha ki RasoolAllahu ﷺ ne farmaya “Agar Namazi ke samne se guzarney wala shakash janta ki uska kitna bada Gunaah hai to uskey samney se guzarney ki bajaye wo 40 (din, mahiney aur saal) tak intezar karta, Abu an nadr ne kaha ki mujhe yaad nahi ki unhoney 40 din , mahiney ya saal kaha tha.”

📕 Sahih Bukhari, Vol 1 , 510

Install Islamic Quiz App