♥ Qaul-e-Mubarak: Hazarat-e-Muhammad Bin Husain Bin Ali (RaziAllahu Anhu) ka Qaul hai ke,
“Insan ke Dil me Jitna Taqabbur dakhil hota hai Utna hi Uski aqal kum hoti hai. Takabbur zyada ho tou Aqal bahut kum hoti hai aur agar Taqabbur thoda ho tou usi ke hisaab se Aqal kum ho jati hai.
Janabe Sulaiman (Rahmatullah Alayh) se uss Gunaah ke Muta’llik puchha gaya jiski maujudgi me neki koi fayda nahi deti tou unho ne kaha woh Takabbur hai.