Ilm Hasil Karnewale Ke Liye Beshumar Neymate

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se Riwayat Hai ke,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya –
‘Jo Shakhs Ilm Ki Talab Me Chalta Hai,
Allah Ta’ala Uske Liye Jannat Ka Raasta Aasaan Farma Deta Hai
Aur Talibe-Ilm Ke Liye Farishte Apne Paron Se Saaya Karte Hain.
Talibe-Ilm Ke Liye Zameen Aur Aasmaan Ki Tamaam Cheezein Bakhshish Ki Duayen Karti Hain.
Yahan Tak Ki Machhliyan Bhi Unke Liye Istagfaar Karti Hain.
Aalim Ki Fazeelat Aabid Par Aisi Hai Jaisi Chaand Ki Fazeelat Sitaaron Par Hai.
Ulema Nabiyon Ke Waris Hain Aur Nabiyon Ki Virasat Deenar Aur Dirham Nahi Hai
Balki Unki Viraasat Ilm Hai.
Jisne Ilm Hasil Kiya Usko Ek Bahut Bada Hissa Haasil Hua..’

(Abu Dawood-3641, Tirmizi-2682, Ibne Maza-223)

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: