♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Farishte Ilm Hasil Karnewale Ke Amal Se Khush Hokar
Uskey Liye Apne Bazu(Wings) Bicha Detey Hai..”
– (Ahyaul Uloom Jild#2, Page#52)
Related Posts:
Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - Allah Ki Lanat Bad-Nigahi Karnewale Par Aur Jiski Taraf Bad-Nigahi Ki Jaye,. - (Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild : 2, Safa : 77) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jo Kisi Aurat Ki Khubiya Dekh Kar Nigaah Jhuka De Allah Ta'ala Usko Aesi Ibadat Ki Taufiq Bakhshega, Jiski Lizzat Wo Apne Dil Me Mehsoos Karega. - (Al Masanduli Imaam Ahmad Bin Hambal Jild:8 Safa:299 Hadees:22341)
Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Tabrani wa Hakim ne Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai aur tamam Bando me Allah ke Nazdik woh zyada Mehboob hai Jo parhezgar hai jo chupey huye hai. Agar wah gayab ho tou Unhey koi talaash na karey aur Gawahii de tou pehchane na jaye wah log hidayat ke imam aur Ilm ke charag hai." (Islami Akhlaq-O-Aadab, Hadees-7, Page-302)
Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai .... ♥ Al-Quraan: Allah Ta'ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. - [Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11] ♥ Isi Tarha Ilm Ki Ahmiyat Aur Fazilat Ke Talluk Se Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai - » Hadees: "Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai". - (Miskat P:24) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai". - (Sunan ibn Majah, Vol-1, Hadith-224) ♥ Mafhoom-e-Hadees: “Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”. - (K.Ummal) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Raat Me…
Jisne Ilm Hasil Kiya Usne Ambiya Ki Wirasat Me Se Bada Hissa… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Ulama Ambiya Ke Waris Hai. Ambiya Wirasat Me Na Duniya Chhodte Hai Aur Na Dirham, Balke Wo Wirasat Me Ilm Chhodte Hai. Jis Ne Isey (Yaani Ilm Ko) Hasil Kiya Uss Ne Bada Hissa (Ambiya Ki Wirasat Me Se) Paa Liya.." - (Ibne Maja: Hadith no.223, Kitab-Us-Sunnat)
Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Bada Martaba Pa Leta… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya: “Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Unn Logon Jaisa Martaba Paa Leta Hai Jo Raaton Ko Ibadat Karte Hai Aur Din Ko Roze Rakhte Hai.” - (Sahih Mustadrak Haakim, 198) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: “मोमिन अपने अच्छे अखलाख की वजह से उन लोगो जैसा मर्तबा पा लेता है जो रातों को इबादत करते है और दिन को रोज़े रखते है.” - (सही मुस्तदरक हाकिम, 198) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Uss Shakhs Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Doulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulaad Me) *Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Badey Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Tou Allah Ta'ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yaani Kum) Samjhoge. - (Sahih Muslim, Vol 6, Hadees:7430)
Hadees: Bhalayi ka Rasta batlaane wala neki karnewale ki… Hadith: 30-June: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Bhalayi ka Rasta batlaane wala Neki karnewale ki tarah hai. 📕 Tirmidhi 2670
Aamaal Ke Sawaab Ka Daromadar Niyato Par ♥ Mafhoom-e-Hadees: Umar Bin Al-Khattab (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Amal Ka Daromadar Niyat Par Hai Aur Har Shaksh Ko Wohi Milta Hai Jiski Wo Niyat Karey - Isliye Jiski Hijrat (Emigration) Allah Aur Uskey Rasool Ki Raza Hasil Karney Ke Liye Ho *Tou Usko Allah Aur Uskey Rasool Ki Raza Hasil Hogi - Lekin Jiski Hijrat Duniya Hassil Karney Ke Liye Ho Ya Kisi Aurat Se Shaadi Karney Ke Iradey Se Ho *Tou Uski Hijrat Uskey Liye Hai Jiskey Liye Usney Hijrat Ki. - (Sahih Bukhari, Hadith no.5070)
Gareebi ki wajah se Hajj na karne walo ke liye Hajj ka Sawab ✦ Mafhum-e-Hadees: Hazrat Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) ne farmaya Gareeb log (Sahaba) Nabi (ﷺ) ki khidmat me hazir huye aur kaha ki: Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahne waali Jannat haasil kar chuke halanki jis tarah hum Namaz parhte hain wo bhi parhte hain aur jaise hum roze rakhte hain wo bhi rakhte hain lekin Maal wa Daulat ki wajah se unhe hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ karte hain Umrah karte hain Jihad karte hain aur Sadqa dete hain aur hum Mohtaji ki wajah se un kaamo ko nahi kar paate.…
Salaam Allah Ke Naamo Me Se Ek Naam Hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Masud (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Rehmat (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya - "Salaam Allah Ke Naamo Me Se Ek Naam Hai Jisko Allah Ne Zameen Par Utaara Hai. Lihaza Usko Aapas Me Khub Failao Qunki Musalman Jab Kisi Qoum Par Guzarta Hai Aur Unko Salaam Karta Hai We Usko Jawaab Dete Hai, Tou Unko Salaam Yaad Dilane Ki Wajah Se Salaam Karne Walo Ko Uss Qaum Par Ek Darja Fazilat Hasil Hoti Hai Aur Agar We Jawaab Nahi Dete Hai Tou Farishte Jo Insan Se Behtar Hai Usko Salaam Ka Jawaab Dete Hai".…
Khane Ke Faraiz : Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao… ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Ikhatthe Hokar Khaao, Alag Alag Na Khaao, Ki Barqat Jamaat Ke Saath Hai, Aur Khadey Hokar Na Khaao Aur Na Piyo.." - (Ibne Maajah, Jild-4, Safa-21, Hadees-3287) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Koi Khaana Khaye Tou Wo Uss Waqt Tak Haath Na Dhoye Jab Tak Wo Ungliyon Ko Chaat Na Le.." - (Bukhari Sharif) ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Khana Kha Ke Shukar Ada Karne Wale Ka Darja, Sabr Karne Wale Rozedar Ke Barabar Hota Hai.." - (Tirmizi, Hadees-2021)
Ladki Ki Nikah Ke Liye Razamandi .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira Wa Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Kuwaari Ladki Ka Nikah Na Kiya Jaye Jab Tak Uski Razamandi Na Hasil Kar Li Jaye Aur Uska Chup Rehna Uski Razamandi Hai, - Aur Na Nikah Kara Jaye Bewah(Widow) Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li Jaye". - (Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Aayesha (RaziAllahu Anha) Ne Arz Kiya - "Ya RasoolAllah! Kuwari Ladki Tou Nikah Ki Ijazat Dene Me Sharmati Hai." Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Uska Khamosh Ho Jana…
Dahiney Qadam Par Ek Neki Zyada Aur .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - "Jo Shakhs Masjid Se Jitna Door Hota Hai Wo Utna Hi Ziyada Sawaab Hasil Karta Hai (Kyunki Namaz Ke Liye Janey Par Dahiney Qadam Par Ek Neki Ziyada Aur Bahiney Qadam Par Ek Gunaah Kum Ho Jata Hai).." - (Sunan Abu Dawud, Vol-1, Hadith no.554) # Sabaq: Beharhaal is Hadees ko Koi Galat Mane Me na ley ,.. Balki Iska Sahi mana ye hai ke jo Masjid Tak Pohochne me jitni jyada mashakkat karega Allah use Utna hi Jyada Sawab ata karega…
Rasool'Allah Ka Insaaf Har Ek Ke Liye Barabar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummaha-Tul-Momeenin Aayesha (RaziAllahu Anha) Se Riwayat Hai Ki, Usama (RaziAllahu Anhu) Ne Rasool'Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ek Aurat Ki Muafi Ki Sifarish Ki (Jisne Chori Ki Thi Aur Uska Naam Fatima Tha) Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Tum Me Se Pahle Ke Log Isliye Halaaq Ho Gaye Ki Wo Kamzoro Par Tou Hadd (Saza) Qayam Karte They Aur Buland Martaba Logo Ko Chorr Detey They. *Uss Zaat Ki Qasam Jiske Haath Me Meri Jaan Hai! Agar (Meri Beti) Fatima (RaziAllahu Anha) Ne Bhi Chori Ki Hoti Tou Mai Uska Bhi Haath Kaat Leta".…
Jisne Jumma Ke Din Gusal Kiya Aur .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Salman Farsi (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke, "Jisne Jumma Ke Din Gusl Kiya Aur Khub Paaki Hasil Ki Aur Tel (Oil) Ya Khushbu Istemal Ki Phir Jumma Ke Liye Chala Aur Do Aadmiyon Ke Beech Me Na Ghusa Aur Jitni Uski Kismat Me Thi Namaz Parhi Phir Jab Imaam Bahar Aaya Aur Khutba Shuru Kiya Tou Khamosh Ho Gaya, Uske Iss Jumma Se Guzre (Past) Jumma Tak Ke Tamam Gunaah Baksh Diye Jayengey". - (Sahih Bukhari, Vol 2, 910 )