Jannati Firqe Me Hum Ummid Kar Sakte Hai !! Dawa Nahi !!! ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farmane Aalishan Hai Ke,
“Meri Ummat 73 Firqon Me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Aqeede Par Hoga”.
(Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255 : @[156344474474186:])

Ab Kuch Log Samjhtey Hai Ke Wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat Ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) Me Se Mai Hi Hu Aur Meri Hi Puri Jamaat Hai, Jab Ki Iss Jamaat Ki Khususiyat Tou Yeh Hai Ke Yeh Quantitatively Nahi Aayngi Balke Qualitatively Aaynge. Apni Khususiyat Se Nikalkar, Alag Alag Tanzimo Aur Jamaato Se Nikal Kar Ek Giroh Me Jama Honge.. Naa Ke Pura Ek Jattha Nikalkar Chala Ke Mai Hi Hu Firqa-e-Najia.

Aur Yaad Rakhey ! Ke Jo Shakhs Yeh Samjhye Ke Mai Hi Firqa-e-Najia Se Hu Wo Sabse Bada Gumraah Hai ..
Kyunki Hum Ummid Kar Sakte Hai Ke Hum Firqa-e-Najiya Se Ho..
Hum Dawa Hargiz Nahi Kar Sakte Ke Hum Hi Firqa-e-Najia Se Hai…

* Wakiya 1
Aayiye Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Ek Sahabi Ka Wakiya Dekhte Hai,
Jab Unke Inteqal Ka Wakt Nazdik Tha,. Rasool’Allah Pohchey Aur Farmaya – ‘Tumhe Kaisa Lagta Hai ?’
Tou Unhone Farmaya Ke – ‘Allah Ke Rasool! Darr Lagta Hai Jahannum Se Allah Ki Aur Uski Saza Se’.
Fir Rasool’Allah Ruk Gaye Aur Fir Pucha Ke – ‘Ab Kaisa Lagta Hai ?’
Tou Kaha – ‘Allah Ke Rasool! Ummid Hai Allah Se Jannat Ki Aur Magfirat Ki’.
Rasool’Allah Ne Kaha – “Haa! Jo Aisi Mout Mara Wo Durust Maraa”
Aisi Hi Mout Sahi Mout Hai Ke Khouf Bhi Ho Aur Ummide Bhi Ho..

Lekin Afsos Ki Baat Hai Ke Hum Tou Khud Ko Firqa-e-Najia Me Samjh Ke Bebaak Ho Gaye Aur Apni Islah Ke Purey Darwaze Band Kar Diye. Yahi Tou Tarika Hai Shaitaan Ka Ek Momin Ko Gumraah Karne Ka…
Tou Lihaja Hum Ummid Karte Hai Ke Firqa-e-Najia Me Rahe ! Hum Dawa Nahi Kar Sakte Ke Hum Firqa-e-Najia Se Hi Hai..

* Wakiya 2
Aayiye Ek Aur Wakiye Par Gaur Karte Hai –
Sahabi-e-Rasool Umar Bin Khattab (RaziAllahu Anhu) Ke Inteqal Ka Wakt Nazdik Tha, Abu Lulu Firoj Ne Aapke Pait Me Khanjar Se Waar Kiya Jiski Wajah Se Aap Behad Jakhmi Ho Gaye, Ab Laga Ke Aapke Inteqal Ka Wakt Kareeb Hai.
Ek Naujawan Daudta Hua Aaya Aur Kahne Laga – “Ameerul Momineen! Mubarak Ho Aapki Dono Dua Kabool Hui”
Riwayat Me Aata Hai Ke Umar Ibne Khattab Humesha 2 Duae Kiya Karte They.
Ek Yah Ke “Allah Mujhe Shahadat Dey” Aur Dusri Yah Ke Madina Dey” – [Sahih Bukhari # 1890]
Tou Log Tajjub Hotey Ke Shahadat ! Aur Madine Me!
Yeh Kaise Mumkin Ho Sakta Hai Kyunki Madine Me Ab Jung Hone Ki Koi Gunjaish Hi Na Thi.,.
Uss Naujawan Ne Kaha Ke – “Ameerul Momineen! Aapki Tou Dono Duae Kabool Ho Gayi, Aur Rasool’Allah Se Maine Suna Bhi Hai Ke Aapko Jannat Ki Basharat Hai”.
Tou Umar Bin Khatab(RaziAllahu Anhu) Ne Farmaya – “Na! Mai Yeh Nahi Samjhta ! Mai Tou Sirf Itna Tassawur Karta Hu Ke Mera Mizaan Barabar Ho Jaye Aur Mai Kamiyabi Se Nikal Jau! Bus Itna Mere Liye Kaafi Hai.. ”

» Nashist: Yaha Gaur Karne Wali Baat Hai Ke Umar Bin Khatab(RaziAllahu Anhu) Ne Yeh Nahi Kaha Ke “Ja Tu Kaha Se Mujhe Khushkhabri Sanane Aaya .. Mai Tou Khulfa-e-Rashidun Se Hu, Meri Tou Jannat Pakki Hai..
Dekhiye Yeh Aazizi Aur Inkisari Thi Unki Ke Wo Dawa Nahi Karte They Apne Itney Bade Kirdar Par Bhi …
Aur Humara Muamla ?
Haa Mai Tou Jannati Hu!!
Tu Tou Dozhaki Hai !!!!
Aur Hum Boltey Bhi Firtey Hai Ke – Humara Firqa Jannat Me Jayega Aur Tumhara Jayega Jahannum Me..

Yaad Rakhye Ke Koi Nahi Janta Ke Koun Jannat Me Jayega Aur Koun Jahannum Me ! Ellah Ke Allah Janta Hai Jisko Wo Jannat Aur Jahannum Ke Hawale Karna Chahta Ho..

•» Sabak: Lihaja Hum Ummid Kar Sakte Hai Ke Hum Firqa-e-Najia Yaani Ahale Sunnat Wal Jamat Se Ho, Hum Dawe Nahi Kar Sakte … Aur Iss Haq Firqe Se Wohi Hoga Jo Allah Aur Uskey Rasool Ki Itteba Karegaa….

# InshaAllah Ul Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Padhne Sun’ne Se Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply