Hisab-e-Qayamat Me Aasani Ke 3 Asbab ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Teen (3) Baatein Jis Shakhs Me Hongi Allah Ta’ala Qayamat Ke Din Uss Ka Hisab Bohat Aasan Tariqey Se Lega Aur Uss Ko Apni Rehmat Se Jannat Me Dakhil Farmayega”.
Sahaba-e-Kiram Ne Arz Ki – “Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Wo Kounsi Baatein Hain?”
Aapne Farmaya –
»(1). Jo Tumhe Mehroom Karey Tum Usey Ata Karo,
»(2). Jo Tum Se Qata-e-Talluq Karey (Yaani Talluq Todey) Tum Uss Se Milap Karo.
»(3). Jo Tum Par Zulm Karey Tum Usko Muaf Kardo.
(Al Mu’jam al Awsat, Jild 2, Page 18, Alhadees 5094)

5/5 - (1 vote)

Leave a Reply

Related Posts: